Jis dost ko bade naazon se paya hai maine,
us pehchan ka nazara hai tu,
Aankhon ne dekhe hain hazaar chehre,
sabse alag sabse pyara hai tu,
Andhere me rehkar jis roshani ko paya hai maine, us roshani ka sitara hai tu
Kaise keh doon tujhe bhool jaungi,
meri yaadon ka sahara hai tu.......
Pyar karna paap hai par "MOHABBAT" hai to hai,
Farz aur rishton se "BAGAWAT" hai to hai,
Aasman door dharti se mana par wo door na ho jaye itni "CHAAHAT" hai to hai
Dost bankaar dushmano sa jo satata hai mujhe,
us zalim pe marna apni "FITRAT" hai to hai,
Mai uski aur wo mera na ho paayen,
pr gair na ho jaayen itni "HASRAT" hai to hai...
Bevajah kisi ko tadpaya nahi karte,
Bevajah kisi ko tarsaya nahi karte,
Jinki saansen chalti hain aapke alfazzon se,
Apni aawaazke liye unhe tarsaya nahi karte...
Logon ne hunar apna dikhaya bhi bahot hai,
Ja-ja ke use maine manaya bhi bahot hai,
Sach puchho to pyara bhi bahot lagta hai dil ko,
Wo shakhs
ki...
Dil jisne dukhaya bhi bahot hai......