Yaar Ek Baar Aakar Muskura Do
Tum Jaha Ho Ek Paigam Bhijwa Do
Raah Dekhti Hai Ye Ankhen Meri
Ek Baar Apni Pyari Awaaz Suna Do...!
Yaaden Bhi Doston Se Hai
Mulaqaten Bhi Doston Se Hai
Sapne Bhi Doston Se Hai
Aur Apnapan Bhi Doston Se Hai
Ya Fir Yu Kaho Ab To Dunia Hi
Doston Se Hai...!
Yaad Karti Hu Jab Doston Ko
Yaadon Se Dil Bhar Jata Hai
Kabhi Saath Hum Ladte Jhagarte
Thay
Aaj Milne Ko Dil Taras Jata Hai...!
Muddat Ke Baad Usne Jo Awaaz
Di Mujhe
Kadmon Ki Kya Bisaat Thi Sanse
Thehar Gayi
Nazakat Lekar Ankhon Me Wo Unka
Dekhna Tauba
Ya Khuda Hum Unhe Dekhe Ya Unka
Dekhna Dekhe...!
Tasveer Teri Dilme Banati Mai
Rahungi
Yaadon Se Teri Ghar Ko Sajati
Mai Rahungi
Jugnu Meri Palkon Pe Chamakte
Hi Rahenge
Raaton Me Tujhe Rasta Dikhati Mai
Rahungi...!
Tumse Milne Ka Ye Bahana Accha
Laga
Nazar Mila Kar Nazar Churana Accha
Laga
Rasman Unse Hath Milana Accha Laga
Dushman Ko Bhi Gale Lagana Accha Laga...!
Hath Utha Kar Aur Duaayein Kya
Maangu
Unka Mere Dilme Samana Accha
Laga
Mere Ghar Me Barkat Naazil Hone
Lagi
Unke Ghar Pe Aana Jana Accha Laga...!
Waqt Ki Bhid Me Hargiz Nahi Khone
Dungi
Mai Tujhe Aur Kisi Ka Nahi Hone
Dungi
Tune Cheeni Hai Meri Ankhon Se
Meri Neenden
Mai Bhi Ab Chain Se Tujhko Nahi
Sone Dungi...!
Zamane Waalo Na Bujh Sakega
Tumhari Phunko Se Pyar Apna
Mere Chiragon Ke Hausle Ab
Hawa Se Aage Nikal Rahe Hain
Tumhari Yaadon Ke Chand Ansoo
Hamari Ankhon Me Pal Rahe Hain..!!
Mai Nadiya Tum Mera Kinara
Mai Veena Tum Taar Bano
Tum Bin Sada Adhoori Hu Mai
Jeene Ka Aadhar Bano
Meri Har Ek Kahaani Me Tera
Kirdaar Jaruri Hai
Ankhon Ke Is Karobaar Me Dil Ki
Haar Jaruri Hai..!!