Uski Payal Ki Chhanchhan Se Mausam
Rang Badalte Hain
Uski Bindiya Ki Chamcham Se Chaand
Aur Taare Jalte Hain
Khwabon Me Bhi Aajaye To Meri Nind
Udaati Hai
Roz Mulaqaten Hoti Hai Baat Nahi Ho
Paati Hai
Woh Ladki Mujhse Milne Ko Sakhiyon
Ke Sang Aati Hai...)
Baazi Dil Ki Haari Sanam Hai Har Raat
Mujhpe Bhaari Sanam Hai
Bekaabu Ab Hum Sanam Ho Rahe Hain
Chain Apna Hum Ab Kho Rahe Hain
Nazar Meri Faryadi Hai Aur Dil Ne Tujhe
Pukaara Hai
Dhalka Dhalka Anchal Tera Kitna Hasin
Nazaara Hai...)
Barsaat Ke Bheege Mausam Me Sardi Ki Thandi Raaton Me
Pehro Wo Yuhi Baithe Rehna Hathon Ko Pakad Kar Hatho Me
Aur Lambi Lambi Ghadiyon Ka Katt Jana Baaton Baaton Me
Beete Din Yaad Dilaate Ho Beete Din Yaad Dilaate Ho.
Mastana Hawa Ke Jhonkon Se Har Baar Wo Parde Ka Hilna
Parde Ko Pakadne Ki Dhun Me Do Ajnabi Hatho Ka Milna
Aankhon Me Dhuaa Sa Chaa Jana Sanson Me Sitare Sa Khilna
Beete Din Yaad Dilaate Ho Beete Din Yaad Dilaate Ho.
Baalon Ko Sukhane Ki Khatir Chatt Par Wo Mera Aa Jana
Aur Tumko Samne Paate Hi Kuch Sharmana Kuch Balkhana
Humsayo Ke Darr Se Katraana Ghar Walo Ke Darr Se Ghabrana
Beete Din Yaad Dilaate Ho Beete Din Yaad Dilaate Ho.
Ro Ro Ke Tumhe Khat Likhti Hu Aur Khud Padh Kar Ro Leti Hu
Halaat Ke Tapte Tufaan Me Jazbaat Ki Kashti Kheiti Hu
Kaise Ho Kaha Ho Kuch To Kaho Mai Tumko Sadayen Deti Hu
Mai Jab Bhi Akeli Hoti Hu Mai Jab Bhi Akeli Hoti Hu.
Mohabbat Me Kayi Naamo Se Woh
Jab Bhi Bulata Hai
Kabhi Radha Kabhi Gulnaar Kabhi Chameli Kehta Hai
Use Har Swad Milta Mere In Naram
Honton Me
Kabhi Mitha Batata Hai Kabhi Namkin
Kehta Hai...!!!
Letter Mujhe Niyaamit Likhte Ho Dil Par Adhaarit Likhte Ho
ABCD Se WXYZ Tak Prem Se Sambandit Likhte Ho
Main Anuraagi Isko Prem Kahani Kaise Maanuu
Tum Mujhse Tanhaaii Me Ekk Baar Miloo To Jaanuu
Ekk Baar Miloo To Jaanuu Gulmohar Gulnaar Chameli....!!!!
Bahut Royi Hai Aankhen Isliye Daman Mera Nam Hai
Tumhe Apna Nahi Paaya Mujhe Is Baat Ka Gham Hai
Mai Khud Ko Bech Dalu Phir Bhi Tum Ko Paa Nahi Sakta
Mai Ek Gareeb Ka Beta Hun Meri Keemat Bahut Kam Hai... (:
Mohabbat Ki Tapish Me Jal Ke Joo Barbad Hota Hai
Wohi Ranjha Wohi Majnu Wohi Farhad Hota Hai
Jise Barbad Kar Deti Hai Aksar Sangdil Duniya
Mohabbat Ke Gulistan Me Wohi Abad Hota Hai... (: