Sukh Dukh Jhoote Dhan Bhi Jhoota
Jhooti Moh Maya
Saccha Maiyya Ji Ka Anchal Jis Se
Jag Me Chaaya
Sancha Darbar Tera Sancha Tera Pyar
Maa
Jaaga Naseeb Mera Aayi Mere Dwaar
Maa
Maa Mere Ghar Aayi Maa Ratan Dhan
Paayo Maine Maa Ratan Dhan Paayo..!
Maa Vaishnav Ki Mahima Niraali
Jane Jag Saara
Unche Pahaad Par Maa Ka Deraa
Lagta Hai Pyaara
Maa Ke Hi Dam Se Chamke Chand
Aur Taara
Meri Zndgi Hai Tujhse Mera Sansar
Maa
Jaga Naseeb Mera Aayi Mere Dwaar
Maa
Maa Mere Ghar Aayi Maa Ratan Dhan
Paayo Maine..!
Laal Chunariya Odh Ke Maiyya Ho
Gayi Sher Sawaar
Jab Koi Sevak Mann Se Bulaye Aa
Jati Hai Dwaar
Bhakton Ko Deti Hai Maa Apna Pyar
Pyasi Thi Beti Teri Pane Ko Pyar Maa
Maine Sajai Tera Mann Se Darbar Maa
Khusiyan Mere Ghar Aayi Maa Ratan
Dhan Paayo Maine..!
Dena Hai To Dijiye Janam Janam
Ka Saath
Mere Sar Par Rakh Do Maiyya Apne
Dono Haath
Mili Ho Tum Humko Bade Naseebon
Se
Churaya Hai Maine Kismat Ki Lakeero
Se
Teri Mohabbat Se Sanse Mili Hai Maa
Sada Rehna Dilme Kareeb Ho Ke..!
Mujhe Meri Naiyya Ki Patwaar
Chahiye Maa
Ek Baar Tera Mujhe Pyar Chahiye
Maa
Sherowali Maiyya Meri Paar Laga
Do Naiyya
Mujhko Bhi Maa Dede Apne Anchal
Ki Chaiyya
Mujhe Meri Naiyya Ki Patwaar Chahiye
Maa
Ek Baar Tera Mujhe Pyar Chahiye Maa..!
Mai Dilse Tujhe Pukaaru Meri Maiyya
Tu Daud Ke Aana
Apni Mamta Ka Maa Tu Pyar Humko
Dikhana
Mujhe Teri Mamta Ka Dulaar Chahiye
Maa
Ek Baar Tera Mujhe Pyar Chahiye Maa
Ek Baar Tera Mujhe Pyar Chahiye Maa..!
Kabhi Durga Banke Kabhi Kali
Banke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana
Maiya Tum Durga Roop Me Aana
Singh Saath Leke Chakkar Haath
Leke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana...!!
Maiya Tum Kali Roop Me Aana
Khappar Haath Leke Yogi Saath
Leke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana
Kabhi Durga Banke Kabhi Kali Banke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana...!!
Maiya Tum Sheetala Roop Me
Aana
Jhadoo Haath Leke Gadha Sath
Leke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana
Kabhi Durga Banke Kabhi Kali Banke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana...!!
Maiya Tum Gaura Roop Me Aana
Maala Haath Leke Ganpati Sath
Leke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana
Kabhi Durga Banke Kabhi Kali Banke
Chali Aana Maiya Ji Chali Aana...!!