Kash Sach Yeh Mera Sapna Ho Jaye,
Jaan Se Bhi Pyara Dost Apna Ho Jaye,
Khuda Hamari Dosti Sada Salamat Rakhe,
Varna Lafz-e-dosti Hi Fanaa Ho Jaye.
Chand Ne Rabse Chandni Mangi,
Suraj Ne Rabse Roshni Mangi,
Rab Ne Poocha Hamari Chahat,
Humne Sirf Apki Dosti Mangi.
Dil Pyar Me Bekar Bhi Hota Hai
Dosti Me Intezar Bhi Hota Hai
Hoti Nahi Pyar Mai Dosti
Par Dosti Me Shaamil Pyar Bhi Hota Hai……
Sham Ki Tanhai Main Kho Na Jaanaa
Kisi Ki Masti Main Doob Na Jaanaa
Milegi Zaroor Manzilen Tumhen
Unhe Paakar Hum Jaise Doston Ko Bhool Na Jana.
Ek Din Baharon Ke Phool Murjha Jaayenge
Jab Bhule Se Kabhi Hum Yaad Aayeenge
Ehsas Hoga Tumhain Hamari Dosti Ka Jab
Door Bahut Door Hum Tum Se Chale Jaayenge.
Aankho Ki Saza Tab Tak Jab Deedara Na Ho,
Dil Ki Saza Tab Tak Jab Tak Pyar Na Ho,
Yeh Zindgi Bhi Ek Saza Hai,
Jab Tak Aap Jaisa Yaar Na Ho.
Aapki Dosti Ko Ahsan Mante Hai,
Nibhana Apna Iman Mante Hai,
Lkin Hum Woh Nahi Jo Dosti Main Apni Jaan De Dende,
Kyoki Dosto Ko To Hum Apni Jaan Mante Hain.
Dosti -Kaho To Ek Lafz,
Mana To Bandgi,
Socho To Ggehra Sagar,
Dubo To Zindagi,
Karo To Aasan,
Nibhao To Mushkil,
Bikhre To Sara Zamana,
Simte To Sirf Tum.
Dost Subeh Teri,
Saam Meri Ho,
Hansi Teri Ho,
Udaasi Meri Ho,
Jab Maut Aaye To Dost Sirf Kabar Teri,
Usmein Laash Meri Ho…
Phoolon Se Khubsoorat Koi Nahi,
Sagar Se Gahra Koi Nahi,
Ab Aapki Kya Tarif Karoo,
Doston Mein Aap Jaisa Pyara Ko Nahi.