Bina kahe jo sab kuch keh jaate hai,
Bina kasoor jo sab kuch seh jate hai,
Door rah kar bhi jo apna farz nibhate hai,
vahi insan sache “DOST” kahlate hai..
Bade Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste,
Anjane Mod Par Kuchh Log Dost Ban Jate Hain,
Milne Ki Khushi De Ya Na De
Bichhadne Ka Gam Zarur De Jate Hain…
Ae Dost Tere Dosti Ke Liye Duniya Chod Denge Hum,
Teri Taraf Aaye Har Toofaan Ko Mod Denge Hum,
Lekeen Tune Jo Saath Choda Hamara,
Kasam Se Tere Bina Mar Jaayege Hum…
Ae Dost Kabhi Mujhe Bhula Na Dena
Is Hanste Hue Chehre Ko Kabhi Rula Na Dena
Kabhi Kisi Baat Per Khafa Ho Bhi Jao
Par Mujhse Door Hokar Mujhe Judai Ki Saza Na Dena
Ae Dost Teri Yaad Mein Dil Ka Usool Hai
Hum Tujh Ko Bhul Jaayege Yeh Teri Bhool Hai
Meri Aankhon Se Koi Aansu Na Nikla Lekin
Ghar Ke Har Dar Se Rone Ki Sada Aati Hai
Shikwe Bhi Ziyaada Hai Aur Shikaayat Bhi Bohat Hai
Aur Iss Ke Liye Dil Mein Mohabbat Bhi Bohat Hai
Tum “ANJAN” Se Bichad Jao Toh Yun Maayus Na Hona
Kyunki Rishto Ke Nibhaane Mein Musibat Bhi Bohat Hai
Aasmaan Humse Naraaz Hain
Taaron Ka Gussa Behisaab Hain
Woh Sub Humse Jalte Hain Kyun Kee
Chaand Se Behtar Dost Hamare Paas Hain
Aapki yaari Aapki wafa hi kafi hai,
Tamam umar ye aasra hi kafi hai,
Jahan milo dekh ke muskura dena,
Jene ke waste ye aasra hi kafi hai
Aapki Dosti Ko Ehsaan Maangte Hai,
Nibhana Apna Imaan Maangte Hai,
Lekin Ham Wo Nahi Jo Dosti Me Apni Jaan De Denge,
Kyonki Dosto Ko To Ham Apni Jaan Maante Hai
Aapki dosti ki ek nazar chahiye;
Dil hai beghar use ek Ghar chahiye
Bas yun hi saath chalte raho ae dost;
Yeh Dosti hume umar bhar chahiye.
Aao Ab koi Dost Aisa Banaya jaye
jise Palkon pe Sajaya jaye
Rahe uska mera rishta kuch is tarha ke ,ki
vo rahe Bhukha toh humse Bhi kuch khaya na jaye