Doston Se Accha Koii Yaar Nahi Hoo Sakta Haii
Bhai Behan Se Behtar Rishtedaar Nahi Hoo Sakta Haii
Maa Se Badhkar Iss Duniya Me Kewal Maa Hii Hotii Haii
Maa Se Badhkar Ekk Ladkii Ka Pyar Nahi Hoo Sakta Haii....!!!!
Har Phool Mehakdaar Nahi Hota
Har Kaanch Chamakdaar Nahi Hota
Ye Haqiqat Hai Aur Mera Tajurba Hai
Ki Har Dost Wafadaar Nahi Hota....!!
Nafrat Hui Hai Hume Dosti Se
Karenge Na Hum Dosti Ab Kisi Se
Tumhe Zindagi Bhar Rona Padega
Mohabbat Na Karna Kisi Ajnaabi Se
Karenge Na Hum Dosti Ab Kisi Se....!!
Apne Mile Gair Mile Ajnaabi Mile
Jitne Bhi Humko Dost Mile Matlabi Mile
Milte Bhi Hain To Katra Ke Nikal Jate Hain
Haye Mausam Ki Tarah Dost Badal Jate Hain....!!
Ek Yaad Teri Dilme Meri Zakhm Ban Gayi
Waise To Kuch Khayal Tujhe Bhulne Ka Tha
Hum Unhe Yaad Kare Jisne Humko Bhulaya
Humne Unko Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya....!!
Badi Dushmani Thi Hume Zindagi Se
Ki Kar Baithe Hum Chaar Nazre Kisi Se
Bahut Ho Chuki Hai Apni Ruswaayi
Na Guzrenge Hum Ab Tumhari Gali Se
Karenge Na Hum Dosti Ab Kisi Se....!!
Wada Karo Mujhse Aisa Hi Rishta
Banaye Rakhna
Meri Dosti Dilme Basaye Rakhna
Waqt Ko Koi Baand Nahi Sakta
Par Tum Is Dosti Ko Palkon Pe Sajaye
Rakhna...!
Tum Banke Dost Aise Aaye Zndgi Me
Ke Hum Ye Zamana Hi Bhool Gaye
Tumhe Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi
Par Hum To Tumhe Bhulana Hi Bhool
Gaye...!
Thandi Hawa Aur Mausam Ka Dhayan
Rakhna
Apni Ye Dosti Kaayam Rakhna
Dosti Ki Mehak Jarur Aayegi Tumhe
Tum Bas Apni Pyari Si Naak Saaf Rakhna...!
Teri Judaai Ka Khauf Kyu Ho Mujhe
Tu Jaha Bhi Hai Mere Kareeb Hai
Zndgi Se Aur Kya Maangu Mai Dost
Teri Dosti Hi To Mera Naseeb Hai...!