Rutha hai koi, aaj phir usse manane ko jee chahta hai...
Naaraj ho gaya tha koi, aaj phir usse hasane ko jee chahta hai...
Hamari taraf dekhna tak chod diya tha jisne,
aaj phir usse najrein milane ko jee chahta hai...
Begana ho gaya tha koi humse,
aaj phir usse apna banane ko jee chahta hai...
Wo shayri hi kya jisme dard na ho,
Aur dard bina mohabbat ke kabhi milta nahi...
Wo prem kahani hi kya jo poori ho jaaye,
Bina adhuri kahani ke itihaas kabhi banta nahi...
Agar na marte laila-majnu, heer-ranjha to kya,
Hum ek naya itihaas banayenge...
Na ki ho jisne mohabbat kabhi,
Mere dil ki baat wo samajh sakta nahi...
Maine to hamesha apne pyaar ka ikraar kiya...
Bas tune hi aaj tak ijhaar na kiya...
Ye yakeen hain mujhe ki pyaar to tu bhi mujhse karti hai,
Par jaane kyon ijhaar karne se darti hai...
Shayad tujhe mere pyaar par yakeen nahi hai,
Ya phir meri chahat ki kadar nahi hai...
Main nahi kehta ki tu mujhse pyaar kar,
Main nahi kehta ki tu mohabbat ka ijhaar kar...
Bas itna karde ehsaan is gareeb par,
Dede mujhe zehar aur iss dard se riha kar...
Yaaro ki mehfil aise jamai jati hai ,
Kholane se pahle botal hilayi jati hai ,
Fir aawaz lagayi jati hai ,
Aa jao dil walo ......,
Yanha dard-e-dil ki dawa pilayi jati hai .
Jaane kyu log hame aajmate hai
kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai
sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
log barish ko bhul jate hai…
Dil Roya Par Ankho ko rone nadiya
Saari Raat jaage Khud ko Sone na diya
Kitna Pyar karte hain Aapko Hum
Is baat ka ehsas aapko hone na diya
♥dekhna hai mere sabra ki intha kaha tak hai. ♥
♥ tu sitam kar teri takat jaha tak hai. ♥
♥ wafa ki ummed jinhe hogi unhe hogi.♥
♥ mujhe dekhna hai tu bewafa kaha tak hai.♥
Zindagi ki shama mein khud kojala jayenge
Ae-bewafa zindagi hum tujhe chhor jayenge
kal rahenge saath kiske ye main nahi jaanta
tamanna na rakhna tu meri mojudagi ki
Apna katra katra hum tujhme bhool jayenge…
Wo humara imtihan kya lagi.
Milege nazro se nazar to,
Apni nazre jhuka legee,
Use meri kabra par deeya jalane ko mat kahna,
Wo nadan hai dosto apna hath jala legi…
Arz kiya hai
ke mai to hairan hun
aisi mohabbat ki kahani par,
mohalle ki sari bakriyan royi mere
bakre
ki qurbani par....EID
MUBARAK 2 MA OL FRNDS.