Woh kehte hai mujhe bewafa ho tum
mujhe mili zindagi main woh saja ho tum
halat se majboor aur waqt se bebas teh hum
is liye aaj khusiyon se kusu dur hai hum…
Dur jaa ke tumse dur naa ja sake,
kitna roye , kisiko bata naa sake.
Gam ye nahi ki, aap mil na sake,
Dard bas ye hai ki, 1 pal k lie bhi apko bhula naa sake…
Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo’n mai,
phir kabhi na simtunga you’n bikhar gaya hoo’n mai…
Maut bas nahee’n aati rooh k nikalne se,
sans mujh mai baqi hai phir bhi marr gaya hoo’n mai…
Tere intezaar..meh yeh nazreeh jhuki hai,
tere cehree kii jhalak koh paneeh ke caah jagee hai..
na janu tera naam na…tera .pata ..
par dil meh anjanii seeh behchaini jagee hai…
Aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hain,
unke khaton ko pani mein bahakar aaye hain,
koi nikal kar pad na le unhe,
is liye pani mein bhi aag laga kar aaye hain…
Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain
Hum kisi se mahobbaton ka dawa to nahi kerte
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain
Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain
Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain
Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain
Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain
Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain…..
Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay
Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay
Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat
Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay
Jo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay
Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay
Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say
koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay
Jo waqt guzar jaye tu wapis nahi aata
Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay
Hum us kee justajoo main howe khud say be-ganay
Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay…!!
Duniya ko is ka chehrah dhikhana padha mujhe,
pardah jo darmiyaan tha haathana padha mujhe,
ruswaiyon ka khauf se mehfil mein aaj,
phir is bewafa se haath milana padha mujhe..
Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa sila diya hai,
Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai…
Teri bewafaai mein dil bekaraar hi na karoon,
Tu hukm de to tera intezaar hi na karoon,
Tu bewafa hai to kuch iss kadar bewafaai kar,
Ke tere baad main kisi aur se pyaar hi na karoon…