milne aaj ek baar chahe mujhe badnaam karde…
ye charcha beshak is shehar mein aam karde….
kuch is tarah tu mujhe rula ke ja fir se….
mere aankh ke har aansu ko nilaam kar
Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya..
Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha.
Dil K Qareeb Aa K Jab Wo Door Ho Gaye,
Sary Haseen Khawb Mery Choor Ho Gaye.
Humne Wafa Nibhai To Badnamiyan Mili,
Jo Log Bewafa Thy Wo Mashhor Ho Gaye.
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se.
Humare Muskurane ki Wajah Tum Ho,
Hamare Zindagi ka Matlab Tum Ho,
Agar Chor Diya Saath Hamara To Samajh Lena
K Hamari Maut ki Waja Bhi Tum Ho.
Mat Zikar Kijye Meri Adaa K Baaray Mai,
Main Buhat Kuch Janta Hoon Wafa K Baaray Mai,
Suna Hai Woh Bhi Mohabbat Ka Shoq Rakhte Hain,
Jo Jante Hi Nahi Wafa K Baaray Mai.
Us k Chehry Per is Qadar Noor Tha
K Us ki Yaad Mein Rona bhi Manzoor Tha
Bewafa B Nahi keh Sakty us ko Faraz
Pyar to ham ne Kia Hai Woh to Bekasoor Tha.
Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.
Baheti hui naadi mein unka peaas hain
jalti hui shama mein unki gharmi ka ehesaas hain
kisi aur ke saath ghar basa liya humne
seene mein basi wahi bewafa pyar ka zeher ki raas hain….