Kabi Humne Bhi Maanga Tha Khuda Se
Ek Mehboob Zndgi Bhar Ke Liye
Par Mere Mehboob Ne Humse Hamari Zndgi Hi Cheen Li
Aur
Mujhe Thukra Ke Kisi Aur Ke Dilme Panaah Li ..!
Teri bewafai ka charcha sareaam kar doon
Fir bhi apna dil tere nam kar doon
Bewafa ke nam se na ho jaye mashhoor
Aaj ye iljam apne nam kar doon
Bewafa ka shila achha nahi hota
Dil todkar hasna ye bhi achha nahi hota
Dil ke har jakham ko hanske ab sahu
Tu bata iss duniya main teri kya nam doon
Sajaye maut se badtar ye saja hai pyar ki
Aaj iss saja ko apne nam kar doon
Kya mila hai tujhe dil todkar ‘farid’ ka
Dil ki har aah ko gumnam kar doon
Teri bewafaai mein dil bekaraar hi na karoon,
Tu hukm de to tera intezaar hi na karoon,
Tu bewafa hai to kuch iss kadar bewafaai kar,
Ke tere baad main kisi aur se pyaar hi na karoon
Duniya Ko Is Ka Chehrah Dhikhana Padha Mujhe,
Pardah Jo Darmiyaan Tha Haathana Padha Mujhe,
Ruswaiyon Ka Khauf Se Mehfil Mein Aaj,
Phir Is Bewafa Se Haath Milana Padha Mujhe
Zindagi ne daga de di hai,
Kisi ne saza de di hai,
Pata nahi kya hua unhe,
Wo bewafa wafa de gayi hai.
Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh humse wafa ki baat karte hain
yeh kaisi chahat hai yaaro
woh bewafa hain yeh jaankar bhi
hum unhi se mohabbat karte hain
Kabhi Kisi Se Judai Mat Karna,
Iss Dost Se Rushvayi Mat Karna.
Jab Dil Bhar Jaye Toh Hame Bata Dena,
Naa Batakar Bewafai Mat Karna
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain
Aur phir se laut jati hain..
Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain
Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya
Har Samandar Ka Ek Kinara Hota Hai,
Har Rat Ka Ek Savera Hota Hai,
Kyun Kar Raha Hai Ye Julm A Khuda,
Kyun Har Bewafa Ka Ek Diwana Hota Hai!!!