Sang E Marmar Se Taraasha Khuda
Ne Tere Badan Ko
Aye Bewafa
Aur..
Baaki Jo Patthar Bacha Us Se Tera
Dil Bana Diya..!
Hum Ne Us Se Sirf Bewafai Ka Matlab
Pucha Tha
Aur
Us Bewafa Ne Kaha Thehro Fir Laut
Kar Nahi Aaya..!
Na Rakhna kisi parinde Se Waha Ki
Umeed.......
Jara se Par Kya nikal aaye......
Apna asiyana hee bhool Jate hai...
zindgi mein mujhse milne vo kabhi aaya na tha
aaj kyun meri qabar pe ro raha tha bewaffa
aankh usski ab khuli hai jab ye duniya chodd di
itne din se vo kahan tha kya so raha tha bewaffa
ussne mujhko gham diya aur gham ne meri jaan li
khudko qatil maanta hai iss liye toh aaj vo
aansuuon se zurm apne dho raha tha bewaffa
meri saansein zindgi aur maut ke thi darmiyan
meri halat dekh kar sab ne kaha marr jaayega
roa pada dushman magar khush ho raha tha bewaffa
der thodi si lagi par rang layi hai waffa
baad marne ke 'zafar' ussne ki inayat hai badi
char char kull mere liye padh raha tha bewaffa
zindgi mein mujhse milne vo kabhi aaya na tha
aaj kyun meri qabar pe ro raha tha bewaffa
Kabi Kareeb To Kabi Juda Hai
Jane Kyu Mujhse Khafa Hai Tu
Mujhe To Tujh Par Khud Se Jayada
Yakeen Tha
Par
Zamana Sach Hi Kehta Tha Ki Bewafa
Hai Tu..!
Tufan Aaker Gujar Jaate Hai....
Magar Tufan Aane Ke Nishan Reh Jaate Hai...
Dil Ke Raaho Se Log Gujar Jaate Hai...
Magar Dil Pe Anek Kadmo Ke Nishan Reh Jaate Hai....!
Jin Pe Hota Hai Bahut Dil Ko
Bharosa
Waqt Padne Pe Wohi Log Daga
Dete Hain..!
Kisi Ki Khatir Mohabbat Ki Inteha Kardo
Par Itna Bhi Nahi Ki Usko Khuda Kardo
Mat Chaho Kisi Ko Toot Kar Itna Bhi
Ki
Apni Hi Wafaon Se Usko Bewafa Kardo..!
Dil to tod hi diya hai ab jalado ashiyana
mera
Taki hum jalkar khak ho jaye
Na dekh sake gairon ke sang
muskurana tera
Dard E Dil Kisi Ko Dikhaye Kaise
Apni Palkon Me Ansuo Ko Chupaye
Kaise
Waar Mujh Pe Kiya Mere Apno Ne
Ab Hum Un Pe Khanzar Chalaye
Kaise..!