Woh Tere Pass Se Chup Chaap Guzar Kese Geya,
Dil-e-betaab Qayaamat Na Uthaa Di Tu Ne..
Un Se Milte They To Sab Kehte They Kyun Milte Ho,
Ab Yehii Log Na Milne Ka Sabbab Puuchte Hain..
Yeh Dil Buraa Sahi Sar-e-bazaar To Na Kehh,
Aakhir Tu Iss Makaan Me Kuch Din Raha To Hai..
Phir Jaag Utha Hai Dil Me Purane Dilon Ka Dard,
Jee Chahta Hai Phir Koi Taaza Ghazal Kahoon..
Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,
Kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain..
Tujh ko paanay ki aarzu karna,
Aandhiyon main diya jalaana tha..
Judaayiyan to yeh maana barri qayamat hain.
Rafaaqton main dukh kis qadar hain kya kehne
Wo sath rehte the toh kehte the. . .
HUM ME KAHI JUDAAI NA PAD JAAYE.
Ab wo paas se hi aise guzarte hai ki . .
UNPAR HAMARI PARCHHAAI NA PAD JAAYE..
Zindagi Ki Dua Na Kar Zalim,
Zindagi Kise Raas Aayi Hai,
Tum Kanto Ki Baat Karte Ho,
Humne To FULO Se Chot Khayi Hai
Woh bewafa nikli toh kya hua,
kuch dino ka toh saath nibhaya tha,
.
Tadapta hua chhod gayi toh kya gilla,
Tadapna bhi toh ussi ne sikhaya tha?