Shayari from Film "FANAA"
Dur humse jaa paoge kaise,
Humko bhool paoge kaise.
Hum who khushbu hain jo saanson mein utar jaye,
Khud apni saanxon ko rok paoge kaise.
Shayari from Film "FANAA"
Phool hoon gulaab ka,
Chameli ka mat samjhna.
Aashiq hun aapka,
Apni saheli ka mat samjhna.
Shayari from Film "FANAA"
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachchi chahat to sada bezuban hoti hai.
Pyar mein dard bhi mile to kya ghabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.
Shayari from Film "FANAA"
Aag suraj mein hoti hai ,
Jalna dharti ko padta hai.
Mohabbat aankhen karti hain ,
Tadapna dil ko padta hai
Shayari from Film "FANAA"
Tere dil mein meri saanson ko panah mil jaaye,
Tere ishq mein meri jaan FANAA ho jaaye.
Shayari from Film "FANAA"
Eye khuda aaj ye faisla karde,
Use mera ya mujhe uska karde.
Bahut dukh sahe hain maine,
Koi khusi ab toh muqadar karde.
Bahut mushkil lagta hai us se door rehna,
Judai ke safar ko kam karde.
Jitna door chale gaye woh mujhse,
Use utna kareeb karde.
Nahi likha agar nasib me uska naam,
To khatam kar ye zindagi aur mujhe FANAA karde.
Shayari from Film "Barsaat" (New)
Unhein lagta hai ke hamain aadat hai muskurane ki,
Woh bewafa yeh bhi na jane yeh ada hai gham chupane ki.
Shayari from Film "Tum"
Tum milo na milo,na milne ka gham nahi,
Tum paas se hi gujar jaao, milne se kum nahi.
Maana ki tumhe hamaari kadr nahi,
Magar unse puchho jinhe hum haasil nahi.
Shayari from Film "Dil Ka Khel"
Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake.
Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake.
Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake.
Shayari from Film "Pyar Ka Tohfa"
Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya.
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya.