MOHABBAT Har insaan ko Aazmaati hai.
Kisi se rooth jaati hai,
Toh kisi pe Muskurati hai.
Mohabbat cheez hi aisi hai,
Kisi ka kuch nahi jaata..
Kisi ki jaan chali jati hai!!
Us Se Na Puchho
Meri Maut Ka Sabab
Wo Khud Ko Sambhal Na Payegi
Bhale Kuch Bhi Kahe Magar
Jaan-ta Hu Wo Dil Se
Mujh Ko Nikaal Na Payegi.!!
Ye Zara Zara Si Baat Perooth Jana Chhod De,
Rula Kar Jee Bhar K Fir Se Mana Na Chhod De..
Manta Hu Khilona Mitti Ka Hu
Par Rooh-e-muhabat H Mujhe,
Yu Har Roz Mujse Dil Bahlana Chhod De.
Guzar Jayege Apke Pas Se Hawa Bankar,
Beh Jayege Ankho Se Aansu Bankar,
Aaj To Aapke Pas Fursat Nahi,
Yad Karoge Jab Reh Jayege Yad Bankar.
Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye To Khud Ko Jalaana Hoga
Ye Na Samajhna Ke Tum Se Bichar Ke Khush Hain Hum
Humein Laugon Ki Khaatir Muskurana Hoga
Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aayi Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga
Vaada Khilaafi Kar Ke Muskurati Ho Tum
Dekhna Ek Din Sanam Tum Ko Pachtana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Par Tera Naam Likh Jaaoun Ga
Thaam Ke Haath Main Phool Tum Ko Aana Hoga
Tere Intezar Main Ik Umar Guzri Hai Sanam
Ab To Aaa Gaya Hai Waqt Ab To Hum Ko Jaana Hoga..
Hanste Huey,
Aankhon Mein Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yoon Khushi Ko Adhoora Sa
Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha,
Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Say Aankhon Mein
Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main,
Koi Shikwa Zamane Say Na Taqdeer Say
Meri Iss Baat Ko Jhoota
Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai Inn Ko Bhi
Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaai Mein Maira Saath
Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do,
Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge,
K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge,
Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge,
Jahan hum apna dard teri aankhon say
Chalka kay dekhayenge.
Har taraf khamoshi ka saya hai
Zindagi me pyaar kisne paya hai
Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur
Zamana kehta hai
Dekho aaj phir peekar aaya hai...
Kastiya Reh Jati H Tufan ChaLe Jate H
Yaad Reh Jati H Insaan ChaLe Jate H
Pyar Kam Nahi Hota Kisi Ke Dur Jane Se
Bas Dard Hota H Unki Yaad Aane Se..