Dil ko dard ankhon ko diya paani tumne
Kis adaa se ujar Di meri jawaani tumne,
Tark-e-Talluk ke baad yeh meetha sa dard
sangeen jurm ki di hai saza suhaani tumne,
Daag dil ke sahayad yaad dilaa dain tumko
barsoon ki hai yeh hukmarani tumne,
kafan Gul-O-Bulbul ka diya hai chaman ko
cheen kar gulshan se baagh baani tumne,
waaqif thi ke toot jaungi nazuk lafzon se
soch samjh kar ki ha manmaani tumne...!!!!
mere dil k dard ko kisne dekha,
jisne dekha chehra dekha,
drd hota tanhaion me,
tanhaion me logo ne,
mujhe hanste dekha.
Kitne Aziyat Se Us Ne Mujh Ko
Bhulaya Hoga
Meri Yadoon Ne Use Khoob Rulaya
Hoga,
Baat Be Baat Aankh Uss Ki Jo
Chalki Hogi
Us Ne Chahre Ko Bazu Me Chupaya
Hoga,
Soocha Hoga Uss Ne Din Main Kaye
Baar Mujhe
Naam Hathele Par Bhi Likh Likh Ke
Mitaya Hoga,
Jahan Us Ne Mera Zikr Suna Hoga
Kisi Se
Us Ki Aankhon Me Koi Aansoo Tu
Aya Hoga,
Raat Ke Bhegne Tak Neend Na Aye
Hogi Tujhe
Tu Ne Takiye Ko Bhi Seene Se
Lagaya Hoga,
Ho Ke Nidhal Mere Yadoon Se
Tune Jana
Mere Tasveer Pe Sar Apna Tikaya
Hoga,
Poocha Ho Ga Jo Kisi Ne Teri Halat
Ka Sabab
Tune Baaton Me Khoob Usse
Chhupaya Hoga...!!!
Waqt Ke Mod Pe Aisa Waqt Aya.
Zakhm Dil Ka Zuban Pr Aya.
Na Rote The Hum Kanton Ki Chubhan Se Bhi.
Aaj Na Jane Q Phulo Ki, Khusbu Se Bhi Rona Aya...!!
Yun To Hain Chahne Walay Bohat
Se Duniya Main,
Nahi Hai Koi Magar Sath Nibhane K Liye,
Meri
Saanson Ki Rawani To Sirf Dhoka Hai,
Han Main Zinda Hon Magar
Sirf Duniya Ko Dikhane K Liye.
Hamne Manga Tha Sath Apka,
Par Aap To Judai Ka Gam De Gaye,
Hamne Soucha Aapki Yaado Ke
Sahare Ji Le Par Aap Use
Bhul Jane Ki Kasam De Gaye.
Woh Silsile woh shauq woh adat na rhi
Phir yeh huaa ke dard me Shiddat na rhi,
Apni Zindgi me ho gaye Masroof woh itne
Ke hum ko Yad krne ki unko Fursat na rhi...!!!
Yun to hain chahne walay bohat se duniya main,
Nahi hai koi magar sath nibhane k liye,
Meri saanson ki rawani to faqat dhoka hai,
Han Main Zinda Hon Magar Sirf Duniya Ko Dikhane K Liye,....
Jaane Q Akele Rehne Ko Majboor Ho Gaye
Yaadon Ke Saaye Bhi Humse Door Ho Gaye,
Ho Gaye Tanhaa Is Mehfil Me,
Ke Hamare Apne Bhi Humse Door Ho Gaye...!!!
Yaad nhi kya kya dekha tha,
Saare manjar bhool gye,
Uski galiyo se jb laute,
Apna bhi ghar bhool gye.
Khoob gye pardes k apne diwaro dar bhool gye,
Sheesmahal ne aisa ghera k mitti k ghar bhool gye.
Tujhko bhi jab apni kasme apne wade yaad nhi,
Hum bhi apne khwab teri aankho main rakh kar bhool gye.
Mujhko jinhone katl kiya h koi unhe batlaye nazeer,
Meri laash k pahlu main wo apna khanzzar bhool gye....