Jisko Chaha Hai Hamne Tutke Pagal Ki Tarah,
Unke Aankho Me Koi Aur Hai Kajal Ki Tarah,
Tujhko Fursat Hai To Fir Se Hasa De Mujhko,
U To Rona Hai Mukaddar Me Badal Ki Tarah,
Chahto Ka Manzar Vo Is Kadar Dikha Gye,
Ki Raah Chalte Hum Un Par Zindgi Luta Gye,
Vo Kyo Na Mili Ham Isi Soch Me Dube Rahe,
Or Vo Kisi Dusre Ko Apna Bana Gaye
Tadpe Bahut Par Wo Maan Ni Paye.
Is Dil Ki Mohabbat Jan Ni Paye.
Ek Din Chale Jayenge Is Duniya Se.
Our Wo Kahenge Lout Aao Hum Aapko Pahchan Nahi Paye.
Is Patthar Ki Duniya Mai Aksar Dil Tut Jaya Karte Hai,
Ankhe Bhi Sambhal Kar Band Karna Mere Dost,
Palko Ke Bich Bhi Sapne Tut Jaya Karte Hai,
Kash Use Chahne Ka Arman Na Hota.
Mai Hosh Me Hote Hue Bhi Anjan Na Hota.
Na Hame Muhabbt Hoti Kisi Patthar Dil Se.
Ya Koi Patthar Dil Insaan Na Hota.
Unko Chaha To Izhar Karna Na Aaya.
Kat Gai Umar Saari Hame Pyaar Karna Na Aaya.
Unhone Mangi Bhi To Judaai Mangi.
Aur Hame Inkaar Karna Na Aaya.
Kabhi To Mile Pahli Mulakat Ki Tarah,
Bigra Hi Rahta Hai Q Halat Ki Tarah,
Wo Ek Shaks Jo Lage Jaan Se Pyara,
Mujhe Waqt To Deta Hai Mager Khairaat Ki Tarah,
Bina Dekhe Chaaha Tujhse Khata Ho Gai,
Meri Manjil Mujse Khafa Ho Gai,
Tune Dur Jane Ka Faisla Kya Kiya,
Meri Zindagi Mere Liye Gunah Ho Gaai,
Pyar Zindagi Ko Sajane Ke Liye Hai,
Zindagi Dard Badhane Ke Liye Hai,
Kash Koi Padh Pata Meri Udasi Ko,
Ye Hasta Hua Chehra To Sirf Dikahne Ke Liye Hai.
Bichaad Kar Bhi Mohabbat Ke Zamane Yad Rahte Hai,
Ujad Jati Hai Mahfil Aur Chehre Yaad Rahte Hai,