Kismat Ka Likha Mitaya Nahi Jata,
Pap Ka Gada Chhupaya Nahi Jata,
Rafu To Har Chiz Ki Hoti Hai Sanam,
Magar Dil Ka Ghav Silaya Nani Jata.
Kabhi Khamoshi Kuchh Kah Jati Hai,
Tadfane K Liye Yaade Hi Rah Jati Hai.
Kya Fark Padta Hai Dil Kagaz Pe Ho Ya Sine Pe,
Jalne K Baad To Sirf Rakh Hi Rah Jati Hai..
Jaha Phool Khile Use Udyan Kahte Hai,
Jaha Ruh Jale Use Shmshan Kahte Hai.
Dono Me Fark Sirf Itna Hai,
K Ujde Huye Udyan Ko Hi Shmshan Kahte Hai.
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko.
Khud Hi Chaly Aty Hain Jab Koi Nahi Hota
Ankhon Se Chalak Jaty Hain Jab Koi Nahin Hota
Dil Bhi Jis Dard Ko Samait Na Paye
Usy Seeny Se Kagaty Hain Jab Koi Nahi Hota
Alfaaz Nahi Milty Jis Dard K Liye
Wo Bat Ye Keh Dety Hain Jab Koi Nahi Hota
In Ansuoon Se Aqedat Unhi To Nahi Mujhko
Ye Sath Nibhaty Hain Jab Koi Nahi Hota
Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta
Zakhm Kitne Hain Dikha Nhai Sakta
Ankhon Se Samjh Sako To Samjh Lo
Ansoon Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta
Aapse Door Hokar Hum Jayenge Kahan,
Aap Jaisa Yaar Hum Phir Payenge Kahan,
Dil Ko To Kaise Bhi Samjha Hi Lenge,
Par In Aankhon Ke Aansuon Ko Chupayenge Kahan.!
Khwab Khoday Tu Teri Yaad K Khander Niklay
Khud Mein Doobay Tu Teri Zaat K Ander Niklay
Be Wajah Na Thi Be Jaan Baaton Ki Chahat
Dil Jo Toota Tu Tery Piyar K Mander Niklay
Hum To Samjhay Thay K Hon Gay Yeh Do Char Ansuu
Ronay Bethey To Samander K Samander Nikley
Kabhi Ansu Kabhi Khushi Bechi
Hum Garibon Ne Bebasi Bechi
Chand Sanse Hain Kharidne Ke Liye
Roz Marti Hui Zindgi Bechi
Stane Lage Mujhe Jb Mere Hi Saye
Preshan Hoke Maine Roshni Bechi
Ek Hum The Jo Khud Hi Bik Gaye
Warna Logon Ne Dosti Bechi
Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan €Œhamsafar†Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota