Kahan Se Layein Hunar Use Manane Ka;
Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Ke Chale Jane Ka;
Milni Thi Mujhe Hi Saza Is Mohabbat Mein;
Kyon Ki Juram Maine Hi Kiya Tha Us Se Dil Lagane Ka!
Kuch Cheezein Hum Purani Chhod Aaye;
Aate Aate Uski Aankhon Mein Paani Chhod Aaye;
Ye Aisa Dard Hai Jo Bayaan Ho Hi Nahi Sakta;
Dil To Saath Le Aaye Lekin Dhadkan Wahin Chhod Aaye!
वादा करके वो निभाना भूल जाते हैं;
लगा कर आग फिर वो बुझाना भूल जाते हैं;
ऐसी आदत हो गयी है अब तो उस हरजाई की;
रुलाते तो हैं मगर मनाना भूल जाते हैं।
"हमारी दास्तां उसे कहां कबूल थी,
मेरी वफायें उसके लिये फिजूल थीं,
कोई आस नहीं लेकिन कोई इतना बतादो,
मैंने चाहा उसे क्या ये मेरी भूल थी।"
Zakham Kee Baat Nahi Hai Jaane Dard Kyon Hota Hai;
Dhokhe Kee Baat Nahi Hai Jaane Ehaas Kyon Hota Hai;
Jante Hue Ki Wo Bewafa Hain;
Na Jane Phir Bhi Pyaar Kyon Hota Hai!
Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga;
Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga;
Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din;
Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga!
Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti;
Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti;
Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka;
Jo Sharton Pe Mile Woh Mohbbat Nahi Hoti!
Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain;
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain;
Phir Us Ke Pyaar Kee Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain;
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain!
Itni Shiddat Se Chaha Use Ki Khud Ko Bhi Bhula Diya;
Unke Liye Apne Dil Ko Kitni Hi Baar Rula Diya;
Ek Baar Hi Thukraya Unhone;
Aur Humne Khud Ko Maut Kee Neend Sula Diya!
Wo Aayi Nahi Kabhi Mujhe Yaad Karke;
Wo Gayi Jab Bhi Mujhe Barbaad Karke;
Agar Wo Aaye Meri Maut Pe To Use Keh Dena;
Abhi Soya Hai Tujhe Yaad Karke!