Koi Mila Hame Chaand Ki Chandni Bankar,
To Koi Mila Pariyo Ki Kahani Bankar,
Par Jis Kisi Ko Palko Me Basaya Hamne,
Wo Nikal Gaya Aankhon Ka Paani Bankar.
Dil To He Jo Sirf Tujpe Hi Mare Ja Raha Hai,
Teri Yad Me Teri Tasbih Kiye Ja Raha Hai,
Ab To Ye Juday Ka Gam Hum Se Saha Nahi Ja Raha Hai,
Aur Ek Tu Hai Jo Dur Reh Kar Muje Tadpa Rahi Hai.
Zubaan Khamosh Ankhon Me Nami Hogi,
Yahi Bas Meri Ek Dastan-E-zindagi Hogi
Bharne Ko Toh Har Zakham Bhar Jayega
Kese Bharegi Wo Jagah Jaha Teri Kami Hogi.
Kuchh Is Kadar Teri Yaad Me Roye Hai.
Ankhe Band Hai Par Ab Tak Soye Nhi Hai,
Ek Baar Jhank Le Mere Dhadkan Me,
Kabar Me Bhi Teri Yaado Me Khoye Hai.
Taras Jaoge Tum Mehfil-e-wafa Ke Liye,
Kisi Se Pyar Na Kar Khuda Ke Liye,
Jab Lagegi Ishq Ki Adalat Ek Din,
Tum Hi Chune Jaoge Saza Ke Liye.
Bus Ek Zara Khayal Dosti Ka Tha,
Warna Bahut Gila Teri Berukhi Ka Tha,
Mujh Ko Laga Me Bhi Teri Zindagi Me Hu,
Par Ye To Koi Dhoka Meri Saadgi Ka Tha.
Mene Kab Dard K Zakhmo Se Shikayat Ki Hai.
Haan Mera Jurm Hai K Maine Mohabat Ki Hai
Aaj Fir Dekha H Use Mehfil Me Pathar Bankar
Mene Aankho Se Nahi Dil Se Baghawat Ki Hai
Usko Bhool Jane Ki Galti Bhi Nahi Kar Sakta.
Toot Kar Ki H Toh Sirf Usi Se Mohabbat Ki Hai
Kaha Kashti Kaha Kinara Tha,
Humne DiL Lgaya Kaha Wo Humara Tha,
Har Pal Sath Ki Jiski Aadat Ho Gyi Thi,
Suni Raho Me Kaha Unka Sahara Tha.
Dil Ki Duniya Tootne Ke Baad Sab Rote The
Hum The Ki Pagalon Ki Tarah Hanste The
Yeh Hale Dil Hum Kaise Sunaye Ki
Takleef Na Ho Unko Iss Liye Akele Rote The.
Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai
Kasam Khuda Ki wahi Dhoka Khaya Hai
Kyu Dosh Dete Ho Kaaton Ko
Ye Zakhm To Humne Phuloon Se Paya Hai