Teri Wafao Mai Sanam
Na Watan Ke Rahe Na Saffer Ke Rahe
Bikhri Lash Ke Itne Tukde Hue
Na Kafan Ke Rahe Na Dafan Ke Rahe.
Koi Kisi K Dard Me Shamil Nahi Hai,
Har Ada Husn K Kabil Nahi Hai,
Sab Kuch Luta Kar Samajh Meaaya,
Yeh Duniya Pyar K Kabil Nahi Hai
Qatal Toh Lazim Hai Is Shaher-e-bewafa Me...
Ke Jise Dekho Hath Me Dil Aur
Dil Me Nafrat Liye Phirta Hai.
Chal Para Hun Main Zamaney Ke Asulon Pe...
Main B Ab Apni Hi Baaton Se Mukar Jata Hoon...!
Meri Vadi Mein Wo Ik Din Yun Hi Aa Nikali Thi
Rang Aur Nur Ka Bahata Hua Dhara Ban Kar
Mahafil-E-Shauq Mein Ik Dhum Macha Di Us Ne
Khalvat-E-Dil Mein Rahi Anjuman-ara Ban Kar
Shola-E-Ishq Sar-E-Arsh Ko Jab Chune Laga
Ud Gai Wo Mere Sine Se Sharara Ban Kar
Aur Ab Mere Tasavvur Ka Ufaq Roshan Hai
Wo Chamakati Hai Jahan Gham Ka Sitara Ban Kar.
Gale Laga Ki Jo Sunate The Dil Ki Aahon Ko
Taras Raha Hun Unhin Ki Hasin Bahon Ko
Qadam Qadam Pe Wo Aankhen Bicha Bicha Dena
Zarur Yaad To Hoga Tumhari Rahon Ko
Duhai Hai Teri Ae Rahazan Duhai Hai
Ki Aj Lut Liya Rahabar Ne Rahon Ko
Mile Na Phir Tere Daman Mein Daag Un Ki 'Shamim'
Sharab-E-Nab Se Dhoya Hai Jin Ki Aahon Ko.
Dil jeet le woh jigar hum rakhte hai
Katal kar de woh nazar rakhte hai
Wada kiya hai kisi se hamesa muskurane ka
Warana hum bhi ankhon mai samunder rakthe hai.
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main,
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main,
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri,
Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga Hun Main…
Ye Ishq Walo Ki Kismat Buri Hoti Hai,
Har Mulakat Judai Se Judi Hoti Hai,
Kahi Bhi Dekh Lena Azmakar,
Sacche Pyar Ko Judai Hi Naseeb Hoti Hai.
Kya Paaya He MeNe Is Sadiyonki Muhabbat Se.
Ek Shayari Ka Hunar,
Doosra Jaagne Ki Saza.