Unki mohabbat ke abhi nishan baki hain
Naam lab par hai aur jaan baki hai
kya hua agar dekh kar muh pher lete hain
Ye tasalli to hai ki unhe hamari pahchan baki hai.
Gumshuda Mujse Mera Anjam Hai
Ankho Se Beh Rahe Jo Wo Mere Arman Hai
.
Chalte Chalte Aa Pahunche Hu Us Manzil Pe
.
Na Dariya He Aur Na Registan H.
Aansuon ki likhawat ko tum padh na sakoge
Gile kagaz pe tum kuch likh na sakoge
Yaad aayegi tumko hamari ye baatein
Jab khokar tum hame paa na sakoge.
Itne Hasin Khwab Na Dikhao Mujhe
Khwabo Ko Ek din Toot Jana Hai
Mana Akhri Saans Tak To Main Sath Hu
Lekin Sanso Ko Bhi To Ek Din Rooth Jana Hai.
Teri yaad me jara ankhe bhigo lu
Udas raat ki tanhai me solu
Akele gum ka bojh ab sambhlta nai
Agar tu mil jaye to tujse lipat kar rolu.
Wafa Na Kar Pau To Naraz Mat Hona
Dilse Utar Jau To Naraz Mat Hona
Pyar Mera Saccha Hai Ek Din Dikhaunga
Maut Mohlat Na De To Naraz Mat Hona.
Dil ki khamoshi ko majboori na samajhna
Pyar nahi karta hai jaroori na samajhna
Pyar ke liye ruh ka saath he kaafi hai
Aur pyar badhta rahe iske liye jazbaat he kaafi hai.
Har kasti ka kinara nahi hota,
jise karte hai pyaar bus wo hamara nahi hota,
rota hoga sagar bhi kisi ke intezar me
varna sagar ka pani itna khara nahi hota.
Labzo ki hasi aap k naam kar denge,
Har khushi aap par kurban kar denge,
Jis din hogi kami hamare pyar me,
Us din zindagi maut k naam kar denge...
महफ़िल में इस कदर पीने का दौर था
हमको पिलाने के लिए सबका जोर था,
पी गए हम इतनी यारो के कहने पर,
न अपना गौर था न ज़माने का गौर था……