Tumhara nam likhnay ki ijazat chin gai jab se
koi b lafz likhta hu to ankhe bheeg jati h
Hazaron mausmon ki hukmarani hae meray dil par
main jab b tanhha hon tou aankhain bheeg jati hai.
Beqadar Hogaye Hain Kuch DOST Hamare,
Jo Hamari Zarurat Tak Mehsoos Nahi Karte,
Kabhi Bohat Batien Kiya Karte The Hum se,
Ab to yaad Tak Nahi Karte.
Mat dikha mujhko apna pashemaan chehra,
Jab k tu janta hai main pighal jaaunga,
Chahe lakh tarpoon tere intzaar mein,
Mat lout k aana main sambhal jaaunga...
Aap Sbko yaad Krte Ho,
Bas Bhul Jate H Hami Ko,
Kisi Ne Sach Hi Kaha he,
Jinke Paas Lakho Sitare Ho,
Wo Kya Mehsus Krenge 1 Taare Ki Kami Ko..
Unko apne haal ka hisaab kya dete
sawaal sare galat the hum jawab kya dete
Wo to lafzo ki hifazat bhi na kar sake
phir unke haath me zindagi ki puri kitaab kya dete.
Tanha kiya hume yaado ne teri
dard aur badha diya yaado ne teri
sukhi aankhe liye baithe the hum
fir se rula diya hume yaado ne teri.
Aapki mehfil ka mausam suhana lage,
Ek pal chura lu agar bura na lage,
Aap shayad milkar hame bhul b jao,
Par aapko bhulane me shayad Zamana lage.
Har zakhm ko seene mein liye firte hai
Har dard dil mein diye banke jalte hai
Har alfaz mein gum ka andhera hai
Aur raat ke baad bhi na yaha savera hai.
Hum dard jheelne se nahi darte
Per us dard ke khatam hone ki koi aas to ho
Dard chahe kitna bhi dardnaak ho
Par dard dene wale ko uska ehsaas to ho.
Mudat Se Koi Shakhs Rulane Nahi Aaya
Jalti Hui Ankhon Ko Bujane Nahi Aaya
Kahta Tha Ke Hm Sath Mare Sath Jiyenge
Ab Rooth Gya Hu To Mnane Nhi Aya.