Aik Chand Tanha Khara Raha, Mere Aasman Se Zara Parey
Mere Saath Saath Safar Me Tha, Meri Manzilon Se Zara Parey
Teri Justuju Ke Hassar Se, Tere Khuwab Tere Khayal Se
Mein Wo Shakhs Hun Jo Khara Raha, Teri Chahaton Se Zara Parey
Kabhi Dil Ki Baat Kehi Na Thi, Jo Kehi To Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Poore To The Magar, Teri Sama’ton Se Zara Parey
Tu Chala Gaya Mere Hamsafar, Zara Dekh Murr Ke Tu Ik Nazar
Meri Kashtiyan Hai Jali Hui, Tere Sahiloon Se Zara Parey…!!
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein?
Tu Bhi Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhi Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein,
Hum Bhi Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kahain Aur Mubtila Ho Jayein,
Abb Ke Garr Tu Milay To Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein,
Bandagi Ham Ne Choor Di Hai “ Aye Dil ”
Kia Karain Jub Loog KHUDA Ho Jayein...!!!
Bohat Masroof Lamhon me
Kabhi ik Pal Ko Socho to,
Koi Kitna Akaila Hai
Kisi Ki Zindagi Tum Ho,
Kisi Ki Bandgi Tum Ho
Kisi Ko Teri Khawahish Hai,
Kisi Ki Chahtain Tum Ho
Kabi ik Pal Ko Socho To,
Tumhari Bewafai Ne
Tumhari Laparwhi Ne,
Tumhari Beneazi Ne
Kisi Ko Mar Dala Hai,
Koi Zinda To Hai Lekin
Faqat Woh Saans Leta Hai,
Zara Ik Pal Ko Socho To
Koi Kitna Akaila Hai...!!!
Kuch Ajab Shaan Se Logon Me Raha Karte Thy
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Me Mila Karte Thy,
Itni Tehzeeb Rah-O-Rasm To Baaqi Thi Ke Woh
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte Thy
Usne Puchha Tha Kaee Baar Magar Kya Kahiye
Hum Mizaajan Hi Pareshan Raha Karte Thy,
Khatam Tha Hum pe Mohabbat Ka Tamasha Goya
Rooh Aur Jism Ko Har Roz Juda Karte Thy,
Zindagi Humse Tere Naaz Uthaye Na Gaye
Saans Lene Ki Faqat Rasm Ada Karte Thy...!!!
Ashkoan Ki Barsaat De Gaya Woh Jaate Jaate
Aahon Ki Saughat De Gaya, Woh Jaate Jaate,
Dil Ne Chaha Tha sath rahenge Umar Bhar
Aarzuon Ki Bouchhar De Gaya, Woh Jaate Jaate,
Barhayaa Jo Khadam Mainy Use Chhony Ke Liye
Raahon Me Kaanty Bikher Gaya Woh Jaate Jaate,
Lari Thi Main Duniya Se Jiski Khatir
Hami Par War Kar Gaya, Woh Jaate Jaate...!!!
Kisi Ki Yaad Ko Dil Me Basa Ke Roye
Kisi Ki Tasveer Ko Seeney Se Laga Ke Roye,
Jo Wada Kia Tha Hum Ne Kisi Se
Hum Us Wady Ko Nibha Ke Roye,
Jis Shakhs Ko Hamari Zaroorat Nahi Thi
Hum Us Shakhs Ko Apni Aarzu Bana Ke Roye,
Jis Ne Hamain Apne Qadmoon Taley Bhi Jaga Na Di
Hum Use Apni Palkoon Par Bithaa Ke Roye...!!!
Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karo Gey Tum?
Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Nhi Kuch Or Tamana Ab,
Ke Bus Mery Ho Jao Tum,
Kabi Na Chor Ke Jao Gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Faqt Ik lafz Sunne Ko,
Kai Barson se Tarsy Hain,
MUJHE APNA BANA LO TUM,
Kaho Aisa Karo Gey Tum...??
Ek Ghazal Woh Bhi Sunain To
Mazaa Aajaey
Kuch Aansu Woh Bhi Bahaeiny To
Mazaa Aajaey,
Keh Do Saqi Se Mera Gham Bohat
Gehra Hai
Woh Nazron Se Pilaye To Maza Aa
Jaye,
Sun Ke Mera Gham Woh Bohat
Roein Gay
Aaj Phir Mehfil Me Bulaye To Maza
Aajaey,
Nafrat Hi Sahi Koi Rishta To Qaim
Hai
Woh Dushmni Bhi Nibaye To Maza
Aa jaye...!!!
Tery Khyaal Me Kuch Aisy Gum
Rahaa Barsoon
Main Apny Aap Sy Bhi Mil Nahin
Saka Barsoon,
Kahain Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na
Ho Jaey
Main Tum Sy Mil Kar Kisi Sy Nahij
Mila Barsoon,
Kaha Thaa Tum Nay Ke Tum Laut
Ke Aaoge Eik Din
So Main Jahaan Thaa Wahain Par
Khara Rha Barsoon,
Tery Baghair Meri Umrr
Raayegaan Guzri
Koi Bhii Kaam Nahin Theek Sy Huaa
Barsoon
Tumhary Haath Ki Dastak Ki Aass
Main " Aye Dil "
Main Apny Ghar Sy Kahin Bhi
Nahin Gyaa Barsoon ...!!!
Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho
Merey He Dil Me Utarr Gye Ho
Kis Ki Chaahat Ka Yeh Asar Hay
Ke Raiza Raiza Bikhar Gye Ho
Tum Hi To Ho Jo Hamary Dil Ki
Hadoon Ko Chu Kar Guzaerr Gye Ho
Hamara Thaamo Ge Haath Kia Tm
Abhi Se Dunya Se Dar Gye Ho
Chaley Gye Ho Nazar Jhuka K
Humein Deewana Sa Kar Gye Ho
Bhool Bethy Ho Ehed Saary
Abhi Se Kiun Tum Mukrr Gye Ho
Dhoondtee Hy Nazar Ye Tm Ko
Aa Bhi Jaao Kidhrr Gye Ho...!!!