Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna
Apne Badlay Huey Lehjay Ki Wazahat Karna
Tum Jo Chahat Kat Shahkaar Hua Karte They,
Kis Se Seekha Hai Yeh Ulfat Me Milawat Karna?
Hm Sazaaon Ke Haqdaar Baney Hain Kab Se?
Tum Hi Keh Do Kiya Jurm Hai Mohabbat Karna?
Teri Furqat Mein Yeh Aankhein Abhi Tak Num Hain,
Kabhi Aana Mere Ashkon Ki Ziyarat Karna
Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan,
Daikh, Bhooley Nahi Teri Hasti Ki Sajawat Karna
Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Hota To Khuda Hota,
Dabooya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Mein To Kia Hota..
Hua Jab Gham Se Yun Be_His To Gham Kia Sar Ke Katne Ka,
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zanoo Par Dhara Hota…
Hui Muddat Ke ‘Ghalib’ Mar Gaya, Par Yaad Aata Hai,
Wo Har Ek Baat Pe Kehna Ke Yun Hota To Kia Hota…
Be Karan Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jaye Ga,
Tere Mere Darmiyan, bas ek khala reh jaye ga
Aks beh jayen ge sare dhoop ke sailab mein
Aur koi paaniyon mein jhaankta reh jaye ga
Mujh ko mere hamsafar aisa safar dar_paish hai,
Rasta kat bhi gaya to fasla reh jaye ga
Loog soo jayen ge khamoshi ki chadar oorh kar
Chaand suny aangnon mein jagta reh jaye ga
Jo kabhi us ne parhin thin mujh se ‘nasir’ mang kar
Naam mera un kitabon mein likha reh jaye ga
Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Humara Hoga,
Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga,
Zindagi..! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
Gar Ye Tay Hai K Yehi Khail Dobara Hoga,
Jis K Hone Se Meri Sasns Chala Karti Thi
Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga,
Ye Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga,
Ishq Karna Hai To Din Raat Usy Sochna Hai
Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga,
Ye Jo Pani Main Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor
Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga,
Kon Rota Hai Yahan Raat K Sunnaton Me
Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga,
Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,
Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain Aye Dil
Usne Seeny Main Koi Dard Utara Ho Ga,
Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko
Mere Mola Ka Dil J
Yunhi Ishara Hoga...!!!
Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna,
Apne Badle Hue Lehje Ki Wazahat Karna
Tum To Chahat Ka Shahkaar Hua Karte The
Kis Se Seekha Hai Ye Ulfat Mein Milawat Karna
Ham Sazaaon Ke Haqdaar Bane Hain Kab Se??
Tum Hi Keh Do Kia Jurm Hai Mohabbat Karna??
Teri Furqat Mein Yeh Aankhein Abhi Tak Num Hain
Kabhi Aana Mere Ashkoon Ki Ziyarat Karna
Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan
Dekh Bhooley Nahi Teri Hasti Ki Sajawat Karna….
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Uska
Jis Shakhs Ko Manga Tha Manajaat Ki Manind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwahish
Masoom Se Bache Ke Khayalat Ki Manind
Us Shakhs Se Milna Mera Mumkin Hi Nahi Tha
Mein Piyaas Ka Sehra Hun, Woh Barsaat Ki Manind
‘Aye Dil’ Usey Samjhao Ke Ab Reham Kare Who
Dukh Bant’ta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Manind
Phirte Rahe Yun Darbadar Bekaar Ban Gaye,
Bantey Wo Or Kiya Mere Dildar Ban Gaye
Hota Tha Jin Ko Dekh Kar Sachai Ka Gumaan
Meri Kahaniyon Ke Wo Kirdar Ban Gaye
Charcha Raha Yun Jin Ki Ameeri Ka Umer Bhar
Mangi Jo Mein Ne Chahat Wo Nadaar Ban Gaye
Or Sadiyon Tak Shouq Jin Ko Mere Qatal Ka Raha
Aaj Kaisy Wo Mere Ghumkhwar Ban Gaye
‘Awais’ Ashaar Likhna Apna Shia’ar Na Tha
Lafzon Ke Hair Phair Se Asha’ar Ban Gaye
Chalo Chalain Kahin Ek Naya Jahan Dhoondein
Ghamon Se Door Bohat Koi Aasman Dhoondein
Bahar Ban Ke Baharon Ko Qaid Kar Aayn
Tere Wajood Ki Hare K Daastan Dhoondein
Ke Chaand Ban Ke Sitaaron Se Doosti Kar Layn
Tere Wisaal Ki Be_Chain Titliyan Dhoondein
Tujhe Talaash Karain Chandni Ke Saaye Mein
Shab-E-Faraq Me Lut’ti Hui Khizan Dhoondein
Kisi Ke Khwab Sajayn Hawa Ki Lehron Pe
‘ Dard ’ Ke Shehar Me Ab Koi Saayban Dhoondein..!!
Rukhsat Hua To Haath Bhi Mila Kar Nahi Gaya
Wo Kiun Gaya Yeh Bhi Bata Kar Nahi Gaya
Yun Lag Raha Hai Jese Abhi Lout Aaye Ga
Jalta Hua Chiraagh Bhi Bhuja Kar Nahi Gaya
Ghar Mein Aaj Bhi Wohi Khushbu Basi Hui
Lagta Hai Yun Ke Jese Wo Aa Kar Nahi Gaya
Mujhy Jeenay Ki Umeed Dobara Dey Do,
Meri Doobti Kashti Ko Kinara Dey Do,
Main Dard Ke Sahil Pey Tanha Khara Hun,
Phir Aa Ke Apni Baahon Ka Sahara Dey Do,
Tera Daaman To Bhara Hay Sitaron Say,
Mujhy Sadqay Me Ek Sitara Dey Do,
Mery Aangan My Aj Andhera Ha Bohat,
Meri Dehleez Ko Phir Apna Nazara Dey Do,
Chand Lamhey Tujhey Dekhney Ki Hasrat Hey Bass,
Maine Kab Kaha Ke Waqt Apna Mujhey Sara Day Do.. ??