Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai,
Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai,
Mohabbat Ho Gayi Hogi,
Kabhi Hasna Kabhi Rona,
Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Yeh Alam Hai,
Mohabbat Ho Gayi Hogi,
Kabhi Aankhon Hi Aankhon Me
Woh Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takraar Baham Hai,
Mohabbat Ho Gayi Hogi,
Kisi Ko Samney Paa Kar
Kisi Ke Surkh Honton Par
Anookha Saa Tabassum Hai,
Mohabbat Ho Gayi Hogi,
Har Ik Salvat Pe Bistar Ki
Kisi Ka Naam Likha Hai
Diye Ki Lo Bhi Madham Hai,
MohabbatHo Gayi Hogi...!!!
Yeh Na Samjh Ke Bichrray Hain To Bhool Gaye Hain Tujhe
Teri Muhabbat Ki Khushbu Mery Haathon Me Aaj Bhi Hai,
Yeh Or Baat Hai Majburiyon Ne Nibhanay Nahi Di Muhabbat
Warna Shamil To Sacchaee Meri Wafaon Me Aaj Bhi Hai,
Muhabbat Se Barrh Kar Aaqidat Hai Mujhe
Yun Maqam Tera Buland Sab Rishton Me Aaj Bhi Hai,
Har Lamhaa Zindage Me Muhabbatain Naseeb Hon Tujhe
Shamil Tu Meri ZindageKi Har Duaon Me Aaj Bhi Hai...!!!
Guzrey Huey Taveel ZamaneyKe Baad Bhi
DilMe Raha woh Chorr Ke Jaaney Ke Baad Bhi,
Pehlu Me Reh Ke DilNe Dia Hai Boht Fareb
Rakha Hai Us Ko YaadBhulaane Ke Baad Bhi,
Qurbat Ke Baad Or Bhi QurbatKi Talaash
DilMutmain Nahin Hai Terey Aane Ke Baad Bhi,
Goo Tu YahanNahin Hai Magar Tu Yahain Pe Hai
Tera Hi ZikarHai Terey Jaane Ke Baad Bhi,
Lagta Hai Kuch KahaHi Nahi Hai Usey
DilKa Tamam Haal SunaneyKe Baad Bhi...!!!
Yehi Surkhi Jo Hay Terey Lab-e-RukhsaarPe Janaan
Yehi Rang-e-SukhanBharr Dey Mery Ashaar Me Janaan,
Niraali Shaan Sey Aaoon Ga Sub HairatSey Dekhen Gey,
Libaas-e-IshqPehnoon Ga Tery Darbaar Me Janaan,
Mery DilKi Yeh Kefiyat Khuley Tum Pey To Kia Kehney
TakallufHai Humain Jazbaat Ke Izhaar Me Janaan,
Yeh Taareeki Ghatey Kesey, Shab-e-FurqatKatey Kesey?
Sehar To So Gai Shayd, Terey RukhsaarMe Janaan,
Hamaari Koi QeematHo Na Ho Kiya Farqa Parta Hay
Magar Hum To Bikain Ge Misrr Ke Bazaar Me Jannan,
Suni Hain ShabKe Sannaty Me Humne SiskiyaanAksar
Abhi ZindaHay Woh Shayed Kisi Deewaar Me Janaan...!!!
Zindagirukh badal gayi hoti
Kash tu mujhko mil gayi hoti
Zindagiko galey laga leta
Har tamanna pighal gayi hoti
Kashtu mujhko mil gayi hoti,
Khawabpalkon pe main sajaa leta
Tujh ko seeney se main laga leta
Apne dilme tujhe basaa leta
Meri kismatbadal gayi hoti
Kashtu mujhko mil gayi hoti,
Aahhnikle gi hontsi loonga
Jis tarah ho sake ga jee loonga
Zeher bhi hanste hanstepee loonga
Ghamki yeh dhoop dhal gayi hoti
Kashtu mujhko mil gayi hoti,
Ab tere gham ko dil me paloonga
Haan judaika zakhamkha loonga
Mautko bhi galey laga loonga
Mautbhi aa ke tall gayi hoti
Kash tu mujhkomil gayi hoti...!!!
Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai
Eik Naiki Merey Hissy Me Bhi Aai Hui Hai,
Merey Kaandhon Pe Dharaa Hai Koi Haraa Huaa Ishq
Yeh Ghari Hai Jo Muddat Se Uthaai Hui Hai,
Toot Jaaunga Agar Mujh Ko Banaaya Bhi Gaya
Koi Shaey Aesi Merey Jism Me Samaai Hui Hai,
Sard Mehri Ke Ilaaqey Me Hoon Masroof-e-Duaa
Zinda Rehnay Ke Liay Aag Jalaai Hui Hai,
Qissaa Goo! Teri Chaupaal Se Main Ab Chaltaa Hoon
Raat Bhi Bheeg Chuki, Neend Bhi Aayi Hui Hai...!!!
Is Kainaat-e-Muhabbat Me Hum Misl-e-Shams-o-Qamar Hai
Ek Raabita Musalsal Hai Ek Faasla Musalsal Hai,
Maain Khud Ko Baich Duun Phir Bhi Main Tujh Ko Paa Nhi Saktaa
Main Aam Saa Hamesha Hun Tu Khas Sa Musalsal Hai,
Waqat-e-Wisaal Ki Bhi Ek Aarzu Adhoori Hai
Ek Aas Si Hamesha Hai Ek Khwaab Saa Musalsal Hai,
Khata Kaaron Ki Qismat Me Jannat Huaa Nhi Karti
Main Khatakaar Azal Se Hun Tu Parsaa Musalsal Hai...!!!
Kash Humari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti,
To Ye Duniya Humse Ruswa Na Hoti,
Agar Aata Aap Jaisa Muskurana Humein,
To Humse Bhi Kisi Ne Mohbbat Ki Hoti…
Teri Palkon Mein Kabhi Na Aansu Aye,
Yahi Duwa Hai Rab Se Meri,
Tere Chahre Se Kabhi Muskan Na Jaye,
Yahi Duwa Hai Rab Se Meri,
Teri Zindagi Me Aye Hum,
Yahi Duwa Hai Rab Se Meri.
Saare Shikwe Janab Tere Hai,
Dil Pe Saare Azaab Tere Hai,
Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati,
Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai…