Meri Nazaro Ko Aaj Bhi Talash Hai Teri
Binaa Apke Khushi Bhi Udaas Hai Meri
Khudaa Se Mangaa Hai To Sirf Itnaa
Marne Se Pahle Apse Mulakat Ho Meri..!
Nayi Nayi Aankhein Ho To Har Manzar
Acha Lagta Hai
Kuch Din Shehar Mein Ghume Lekin, Ab
Ghar Acha Lagta Hai
Milne-Julnewalon Mein To Saare Apne
Jaise Hain
Jis-se Ab Tak Mile Nahi Voh Aksar Acha
Lagta Hai
Humne Bhi So Kar Dekha Hai Naye-
Purane Shehro Mein
Jaisa Bhi Hai Apne Ghar Ka Bistar Acha
Lagta Hai.
Mere Janib Jab Wo Ulfat Se Nazar Karta Hai
Uska Andaz E Nazar Dil Pe Asar Karta Hai
Choomti Hai Mere Kadmon Ko Khusi Ki Manzil
Humkadam Banke Wo Jab Saath Safar Karta Hai
Tazkarah Uska Mai Din Raat Kiya Karti Hu
Aur Wo Zikr Mera Sham O Saher Karta Hai
Chashm E Gustakh Ko Wo Mujhpe Nichawar Kar Ke
Dil Ki Dunia Ko Meri Zer Wa Zabar Karta Hai..!
Aaj phir uski yaad ne rula diya,
kaisa hai yeh chehra jisne yeh sila
diya,
do lafz likhne ka tarika na tha,
uske pyar ne mujhe shayr bna diya
Mohabat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai
Tmhen Pana Bhai Mushkil Tmhen Khona Bhi Mushkil Hai
Udasi Tery Chehry Ki Gawara Bhi Nahi Dil Ko
Teri Khatir Sitary Toor Kr Lana Bhi Mushkil Hai
Zara Si Baat Per Ankhen Bhigo Kr Baith Jaty Ho
Tumhen To Hal-E-Dil Batlana Bhi Mushkil Hai
Agar Mein Hadh Se Guzar Jaon To Mujhe Maaf Kardena
Tere Dil Mein Utar Jaaon To Mujhe Maaf Kardena
Yun Hi Ghusey Mein Akar Dant Dena To Meri Adat Hai
Agar Aesa Main Kar Jaaon To Mujhe Maaf Kardena
Raste Mein Tujhe Dekh Kar Teri Deed Ki Hatir
Pal Bhar Jo Theher Jaaon To Mujhe Maaf Kardena
Teri Pal Bhar Ki Bhi Judai Mujhe Jeeney Nahi Deti
Tere Bin Jo Mar Jaaon To Mujhe Maaf Kardena
Aansu Jo Beh Rahey Hein Inhein Behney Do
Yeh Keh Rahey Hein Dil Ki Baat, Kehney Do
Buhat Bawafa Ho Tum, Yeh Ham Ko Hai Maloom
Tum Apni Wafa Ki Baat, Apney Tak Hi Rehney Do!
Mila To Kia Mila Tumhein Chahney Kay Baad
Bas Dukh Hi Seh Rahein Hein, Hamein Sehney Do
Tum Ney To Keh Dala Sab Haal-E-Dil Apna
Ab Mujh Ko Apni Daastaan Bhi Kehney Do
Mar Gaya Auroon Kay Liye Main
Tum Apni Khatir Ham Ko Zinda Rehney Do..
Apni Yaadein Apni Baate Lekar Jana Bhul Gaye
Jane Wale Jaldi Mai Milkar Jana Bhul Gaye
Mur-Mur Kar Dekha Tha Jaate Raste Mai Usne
Jese Use Kuch Kehna Tha Jo Wo Kehna Bhul Gaye
Waqt-E-Rukhsat Poch Raha Tha Mere Aansu Apne Aanchal Se..
Usko Gham Tha Itna K Wo Khud Rona Bhul Gaye.!!
Woh Kah Kar Chali Itni Mulakat Bahut He,
Mene Kaha Ruk Jao Abhi Rat Bahut He ,
Tham Jayen Mere Ansu To Tum Shokh Se Jana,
Ese Me Kahan Jaogi Abhi Barsat Bahut He
Kosis karo apse koi na ruthe,
Zindegi me apno ka sat kavi na tute,
Rista koi v ho use aisa nibhao ki,
Uska door kavi na chhute.