Pyar Ankhan Naal Jataya Te Bura Mann Gaye;
Haal-e-Dil Sunaya Te Bura Mann Gaye;
Tu Te Sannu Roj Rovaya;
Je Ik Din Asin Rovaya Te Tusin Bura Mann Gaye!
Wafaa Ke Baab Mein ILzaam-e-Aashiqui Na Lia;
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-ILtafaat Rahay;
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;
'Faraz' Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!
Wafa Ke Khwab Muhabbat Ka Aasara Le Ja;
Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja;
Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan;
Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja;
Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera;
Ki Bund Bund Ata Kar Ghata Ghata Le Ja;
Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho;
Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja;
Nadamaten Hoon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai;
Faraz Jaan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja!
Ham Ki Thahre Ajnabii Itnii Mulaqaaton Ke Baad;
Phir Banenge Aashnaa Kitnii Mudaaraaton Ke Baad;
Kab Nazar Men Aayegi Be-Daagh Sabze Kii Bahaar;
Khuun Ke Dhabbe Dhulenge Kitnii Barsaaton Ke Baad;
The Bohat Be-Dard Lamhe Khatm-e-Dard-e-Ishq Ke;
Thiin Bohat Be-Meher Subahen Meherbaan Raaton Ke Baad;
Dil To Chaaha Par Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hii Na Dii;
Kuchh Gile Shikwe Bhii Kar Lete Munaajaaton Ke Baad;
Unse Jo Kahne Gaye The Faiz, Jaan Sadqe Kiye;
Ankahii Hii Rah Gayii Voh Baat, Sab Baatoon Ke Baad!
Tere Ishq Ke Intaha Chahata Hoon;
Meri Sadagi Dekh Kya Chahata Hoon;
Sitam Ho Ki Ho Vada-E-Behijabi;
Koi Baat Sabr-Azama Chahata Hoon;
Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko;
Ki Main Aap Ka Samana Chahata Hoon;
Koi Dam Ka Mehaman Hun Ae Ahal-E-Mahafil;
Chirag-E-Sahar Hun, Bujha Chahata Hoon;
Bhari Bazm Mein Raaz Ke Baat Kah Di;
Bada Be-Adab Hun, Saza Chahata Hoon!
Mere Jeene Ke Liye, Tera Armaan Hi Kaafi Hai;
Dil Ke Qalam Se Likhi, Ye Dastaan Hi Kafi Hai;
Teer-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorate Ai Nazneen;
Qatl Karne Ke Liye, Teri Muskaan Hi Kafi Hai!
Jhonka Idhar Na Aae Naseem-E-Bahar Ka;
Naazuk Bagut Hai Phool Chiragh-E-Mazaar Ka;
Phir Baithe Baithe Waada-E-Wasl Us Ne Kar Liya;
Phir Uth Khara Hua Wohi Rog Intezaar Ka!
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barse;
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barse;
Minatien Kon Kare Aik Gharonde Ke Liye;
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barse!
Har Gam Par Hai Majamaa-E-Ushshaaq Muntazir;
Maqtal Ki Raah Milti Hai Kuu-E-Habeeb Se;
Is Tarah Zindagi Ne Diyaa Hai Hamaara Saath;
Jaise Koi Nibhaa Rahaa Ho Kisi Raqeeb Se!
Har Dua Gar Kabool Ho Jaaye;
Aadmi Be-Usool Ho Jaaye;
Vo To Ranj-O-Gham Raahaton Mein Shaamil Hain;
Varnaa Insaan Malool Ho Jaaye!