Garmiye Hasrat Ke Nakam Se Jalte Hai
Hum Chiragon Ki Tarah Shaam Se Jalte Hai…
Jab Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath..
Naa Jano Kyon Log Hamare Naam Se Jalte Hai
Muskil nahi duniya me kuch bhi,
phir bhi log apna vada tod dete hain,
agr dil se ho rista or sachi ho dua,
to sitare bhi kisi ke liye khud ko tod dete hai
Hum Unko Khona Nahi Chahte,
Unke Judai Mein Rona Nahi Chahte,
Dua Karo Dosto Vo Sirf Hamare Hi Rahe,
Kyunki Hum Bhi Kisi Aur Ke Hona Nahi Chahte.
aaj socha sms kya bheju,
aap muskuraen aisa paigam kya bheju,
koi phool to mujhe maloom nahi,
jo khud gulshan ho use gulaab kya bheju.
Phool Ki Tareef To Sab Karte Hain
Badi Mushkil Se Log Kaanto Par Gaur Karte Hain
Maali To Sirf Naam Ke Hote Hain
Phoolon Ki Hifazat To Kaante Hi Karte Hain..!
Ye Tajaruba Bhi Karun Ye Bhi Kar Dikhalaun Main;
Ki Khud Ko Yaad Rakhun Us Ko Bhool Jaun Main;
Fareb-E-Kar Mein Kuch To Hai Koi Baat To Hai;
Ki Jan Bujh Ke Itane Fareb Khaun Main;
Wo Pal Kahan Hain Jo Duniya Se Jodata Tha Mujhe;
Jo Paun Tujh Ko To Sab Ke Qarib Aaun Main;
Kabhi To Ho Mere Ehasas-E-Kamtari Mein Kami;
Kabhi To Ho Ki Use Khul Ke Aaun Main;
Wo Shakhs Hai Ki Nasim-E-Sahar Ka Jhonka Hai;
Bikhar Hi Jaun Jo Us Ko Gale Lagaun Main;
Azan Ke Bad Dua Ko Jo Hath Uthaye Wo;
Iman Apni Namazen Bhi Bhool Jaun Main!
Yah Dunyaa Ek Khawaabon Kii Zamiin Hai;
Yahaan Sab Kuchh Hai Aur Kuchh Bhii Nahiin Hai;
Tere Chhuune Se Pahle Vaahma Thaa;
Mujhe Ab Apne Hone Ka Yaqiin Hai;
Jo Socho To Sulag Uthi Hain Saansen;
Teraa Ehsaas Kitnaa Aatishiin Hai;
Mohaajir Ban Gye Hain Mere Aansuu;
Na Aanchal Hai Na Koii Aastiin Hai;
Jagah Duun Kaise Tujhko Apne Dil Men;
Yahaan To Teraa Gam Masnad-Nashiin Hai;
Mere Chehre Pe Koii Jhuk Rahaa Hai;
Yah Lamhaa To Khudaa Jaisaa Hasiin Hai!
Kitna Bebas Hai Insan Kismat K Aage,
Har Sapna Tut Jata Hai Haqiqat K Aage,
Jisne Kabhi Duniya Me Jhukna Nahi Sikha,
Wo Bhi Jhuk Jata Hai PYAR K Aage...
Har Shayari Ka Jawab Ho
Yeh To Koi Zaroori To Nahin…
Har Sawal Ka Jawab Ho
Yeh Koi Zaroori To Nahin…
Har Dard Ki Dawa Ho
Yeh Bhi Koi Zaroori To Nahin…
Smajhane Wale Mil Jayein
Warna Zindagi Bekar Hi Nahin…
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia...
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia..
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia...
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia...
Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia..!!