Kitabon Mein Rakh Kar Sula Gaya Humko
Aankh Band Kar Bhula Gaya Humko
Ajeeb Musavvar Tha Jo Barishon Mein
Deewaron Pe Bana Gaya Humko…
Aadmi Kya Hai Gujrate Waqt Ki Tasveer Hai
Jane Wale Ko Sada Dekar Bula Sakte Nahi
Shaher Mein Rehte Hue Humko Zamana Ho Gaya
Kaun Rehta Hai Kahan Kuch Bata Sakte Nahi
Teri Yaadon Ke Bikhre Tukde Chunkar
Guzre Lamho Ki Tasveer Bana Loon
Apni Har Khushi Tere Naam Likh Ke
Tere Dukhon Ko Apni Taqdeer Bana Loon…
Ek Tasveer Jo Khawabo Ko Saja Jati Hai
Kitne Soye Hue Jazbaat Jaga Jati Hai
Aaj Bhi Unki Yaadein Akele Mein
Muskan Ban Kar Lab Per Khil Jati Hai…
Juda Hai To Kya Hua Doori To Nahi
Baat Bhi Na Ho Aisi Majboori To Nahi
Nazar Nahi Aate Ho Aap To Kya Hua
In Aankho Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi…
Chehre Pe Ashko Ki Lakeer Ban Gayi
Jo Na Chaha Tha Wo Takdeer Ban Gayi
Humne To Chalayi Thi Ret Per Ungli
Gaur Se Dekha To Unki Tasveer Ban Gayi
Hum Na Ajnabi He, Na Paraye He,
Aap Aur Hum Ek Rishte Ke Saaye He,
Jab Bhi Jee Chahe Mehsus Kar Lijiyega,
Hum To Aapki Muskurahat Me Samaye He..
लम्हे जुदाई को बेकरार करते हैं
हालत मेरे मुझे लाचार करते हैं
आँखे मेरी पढ़ लो कभी
हम खुद कैसे कहे की आपसे प्यार करते हैं
आँखों से आंसू न निकले तो दर्द बड जाता है,
उसके साथ बिताया हुआ हर पल याद आता है,
शायद वो हमें अभी तक भूल गए होंगे,
मगर अभी भी उसका चेहरा सपनो में नज़र आता है|
Koi Toote To Usey Sajana Seekho,
Koi Roothe To Usey Manana Seekho,
Rishte To Milte Hain Mukaddar Se,
Bas Unhe Khoobsurti Se Nibhana Seekho...