Woh Dhyaan Hi Na Degi Kya Keh Rahi
Hai Teacher
Ek Naam Ungliyon Se Likhti Rahegi Din
Bhar
Kuch Bhi Naa Padh Sakegi College To
Jaa Rahi Hai
Ek Pagal Ke Pyar Me Deewani Ho Gayi
Hai.
Khidki Se Jhankti Hai Sab Se Nazar
Bacha Kar
Bechain Hoo Rahi Hai Kyu Ghar Ke
Chatt Pe Jaa Kar
Kya Dhoondti Hai Jaane Kya Cheez
Khoo Gayi Hai
Ek Pagal Ke Pyar Me Deewani Ho Gayi
Hai.
Chehro Par To Inki Sach Ki Mehfil Hai
Jhoot Ka Mela Dil Ke Andar Lagta Hai
Chor Ucchokon Se Bhi Itna Khauf Nahi
Jitna Farebi Aashiquon Se Darr Lagta Hai...!!
Har Sajde Me Jhuk Kar Deedar Unka
Paate Hain
Har Ibaadat Ki Shuruwat Me Zikr Unka
Kar Jaate Hain
Hathon Ko Dua Ke Liye Kuch Is Tarah
Uthate Hain
Sari Kaynaat Ki Khusiyon Ko Unke Daman
Me Samet Laate Hain...!!!
Baat Pate Ki Hai Ye Maano Jo Mera Kehna
Achchha Hai Aag Se To Dur Hi Dur Rehna
Jhooti Inki Kasme Hai Jhoota Hai Inka Drama
Meethi Meethi Baaton Me Inki Bhool Ke Na Aana.
Andheri Raat Me Aaye Thay Jo Shama Banke
Ujaale De Na Sake Reh Gaya Dhuaa Banke
Zuban Pe Baat Laabon Par Thi Meri Khamosi
Nazar Suna Na Saki Dastan Zuban Banke
Lagaye Firti Hu Yaadon Ko Apne Seene Se
Uske Dhoka Se Jala Mera Aashiyan Banke.
Yeh Nahi Ilm Ki Mohabbat Kise Kehte
Hain
Hain Magar Aksar KisiKi Yaad Aati Hai
Dil Ko Aur To Koi Taqleef Nahi Hai
Haan Uske Naam Se Dharkan Thehar
Jarur Jati Hai...!!!
Chehre Ka Zikr Chod Ke Aaina Ye Bata
Kya Kuch Kami Tujhe Mere Kirdaar Me Mili
Buniyaad Ro Padi Thi Kabhi Ek Makaan Ki
Silan Aur Mehak Dar O Deewar Me Mili...!!
Gussa Guroor Ladna Mardo Ki Bhool Hai Ye
Thanda Mijaaj Rakhna Pehla Usool Hai Ye
Baat Pate Ki Kehti Hu Tum Chahe Samjho Afsana
Phir Bhi Hum Husn Ka Gulaam Hai Zamana.
Hai Kaun Jiske Lab Par Koi Sawal Nahi Hai
Mera Hi Ek Shayed Koi Khuda Nahi Hai
Hota Agar To Sunta Mera Bhi Wo Fasana
Mujhko Tamasha Banake Kehta Hai Yeh Zamana
Yeh Ladki Kharab Hai Bolo Ab Kya Jawab Hai Bolo Na Koi Jawab Hai.