Baat Bigdre To Banane Ko Chali
Aaungi
Kis Ko Inkaar Hai Aane Se Chali
Aaungi
Umar Bhar Saath Nibhane Ka Tu
Wada Kar Le
Chhod Kar Saare Zamane Ko Chali
Aaungi.
Malal Dil Ko Tere Hoga Mere
Jane Se
Na Chhup Sakega Tera Dard
Muskurane Se
Bichad Ke Tujhse Kabhi Phir
Kahi Milu Na Milu
Mujhe Tu Rok Le Nadaan Kisi
Bahane Se.
Mai Tere Naam Ho Jau Tu Mera
Naam Ho Jaye
Mai Tera Daam Ho Jau Tu Mera
Daam Ho Jaye
Na Radha Sa Na Meera Sa Virah
Manzoor Hai Mujhko
Banu Mai Rukmani Teri Tu Mera
Shyam Ho Jaye...!!
Mohabbat Jinko Hoti Hai Muqaddar
Ruth Jata Hai
Musafir Sang Jo Chalta Hai Safar Me
Choot Jata Hai
Dilon Se Khelne Mat Do Kabhi Nadaan
Logo Ko
Khilona Kanch Ka Hai Ye Ki Aksar Toot
Jata Hai...!!
Rab Ki Neymat Hai Aur Rehmat Hai
Maa Meri Ghar Me Hai To Barkat Hai
Aye Falak Chal Tu Maa Ke Kadmo Me
Maa Ke Kadmo Ke Niche Jannat Hai.
Kab Kaha Maine Ki Accha Ashiyana
Chahiye
Sar Chupane Ko Magar Kuch To Thikana
Chahiye
Ya Khuda Ho Jaye Puri Meri Jaayez
Khwaishe
Daulat Unko De Jinhe Karooni Khazana
Chahiye.
Mere Liye To Zamana Tha Baah
Bhar Dunia
Tere Liye To Mai Bas Hi Zamane
Waali Thi
Tere Makaan Ko Ek Ghar Banane
Waali Thi
Mai Tujhe Rooh Me Apni Samane
Waali Thi.
Yaad Fir Aa Gayi Ek Zamane Ke
Baad
Humko Rona Pada Muskurane
Ke Baad
Pehle Betabiyan Thi Samajh Kuch
Na Thi
Hosh Hume Aaya Dil Lagaane Ke
Baad.
Mohabbat Me Hua Hai Aisi Raho
Se Guzar Apna
Dikha Dala Jaha Dushmaniye Se
Asar Apna
Hamara Caravan Lut Ta Nahi To
Aur Kya Hota
Samajh Rakha Tha Humne Qatilon
Ko Rehbar Apna.
Raaz Poshida Koi Kaise Khol Sakta
Hai
Pyar Ko Tarazu Me Kaun Tol Sakta
Hai
Sab Logo Ki Khamosi Ye Bata Gayi
Mujhe
Ishq Wo Zuban Hai Jo Gungaa Bhi
Bol Sakta Hai.