Sara Sahil Gulabi Laga Aur Suraj
Sharabi Laga
Bheegi Bheegi Hawaon Me Kal Wo
Mere Sath Chalti Rahi
Uski Zid Meri Khuddariyan Dono Apni
Jagah Kam Na Thay
Fir Bhi Chahat Ke Jazbaat Ki Dhoop Me
Barf Galti Rahi.
Zndgi Yu Guzarti Rahi Mom Jaisi
Pighalti Rahi
Mai To Bharti Rahi Mutthiyan Reit
Fir Bhi Fisalti Rahi
Ek Gareeb Ki Beti Ne Sau Reshmi
Khwab Kaade Magar
Maang Sooni Ki Sooni Rahi Arzoo
Dilme Patli Rahi.
Mai Nadiya Tum Mera Kinara
Mai Veena Tum Taar Bano
Tum Bin Sada Adhoori Hu Mai
Jeene Ka Aadhar Bano
Meri Har Ek Kahaani Me Tera
Kirdaar Jaruri Hai
Ankhon Ke Is Karobaar Me Dil Ki
Haar Jaruri Hai..!!
Uski Kurbat Me Jo Khamosh Rahi
Bhi To Kya
Meri Bindiya Mera Kajal Mera Zevar
Bole
Jab Bhi Sharma Ke Nazar Us Se Churati
Hai Falak
Uski Ankhon Me Ajab Khauf Ajab Darr
Bole.
Humne Maanga Tha Thoda Sa Ujala
Apni Zndgi Me
Us Bewafa Ne To Aag Hi Laga Di
Mujhe Aaj Bhi Yakeen Hai Ki Tu Ek Din
Laut Kar Ayega
Chahe Wo Din Meri Maut Ka Hi Kyu Na
Ho.
Ek Chote Se Sawal Par Itni Khamosi
Bas Itna Hi To Pucha Tha Ki Kabhi
Wafa Ki Hai Kisi Se
Waqt Mile To Mere Ghar Tak Chale Aana
Tere Khusboo Ke Mohtaj Mere Guldaste
Aaj Bhi Hai.
Na Jab Tak Muskuraye Wo Use
Muskaan Mat Dena
Palat Kar Khud Hi Aayegi Tum Us
Par Dhayan Mat Dena
Taras Jaoge Jannat Ko Agar Maa
Baap Royenge
Kisi Ladki Ki Khatir Bhool Kar Bhi
Jaan Mat Dena...!!
Surya Bano Kuch Raaton Ka Jugnu
Banne Se Kya Hoga
Bhanware Baniye Phoolon Ki Khusbu
Banne Se Kya Hoga
Prem Karo Dharti Se Aur Kalam Bano
Azaad Bano
Lailaaon Ke Chakkar Me Majnu Banne
Se Kya Hoga...!!
Pyar Karna To Umar Bhar Mujhko
Warna Shehzade Maaf Kar Mujhko
Yaad Teri Hai Looriyon Jaisi
Par Jagati Hai Raat Bhar Mujhko...!!
Na Rehna Surkhiyon Me Tum Kabhi
Khabaro Me Mat Aana
Duboo Degi Lehar Ye Ishq Ki Lehro
Me Mat Aana
Zamana Pyar Karne Walo Ko Jeene
Nahi Deta
Mujhe Dekho Mohabbat Se Magar
Nazron Me Mat Aana...!!