Dharam Jo Tumhara Hai Dharam Jo
Hamara Hai
Dharam Sabko Pyara Hai Bas Bharam
Ne Maara Hai
Dharam Par Jhagarte Hain Dharam Par
Jo Ladte Hain
Apni Is Buraayi Se Apni Is Ladaai Se
Sharam Se Na Ho Jaye Dharam Paani
Paani
Pyar Ke Katore Me Ganga Ka Paani.
Kashmir Wale Ho Ya Dilli Ke Jiyale Ho
UP Ke Ho Matwale Ya Bihar Ke Paale
Geet Gaate Gujrathi Banke Rahe Sab
Saathi
Koi Dharam Wale Ho Gore Ho Ya Kale
Ho
Jaat Hum Sabhi Ki Hai Ek Hindustani
Pyar Ke Katore Me Ganga Ka Paani.
Ye Suraj Kiska Hai Ye Chaand Kiska
Hai
Ye Suraj Sabka Hai Ye Chaand Sabka
Hai
Ye Hawayen Kiski Hai Ye Fizayen Kiski
Hai
Ye Fizayen Sabki Hai Ye Hawayen Sabki
Hai
Kis Tarah Se Bantenge Rab Ki Meharbani
Pyar Ke Katore Me Ganga Ka Paani.
Tasveer Teri Dilme Banati Mai
Rahungi
Yaadon Se Teri Ghar Ko Sajati
Mai Rahungi
Jugnu Meri Palkon Pe Chamakte
Hi Rahenge
Raaton Me Tujhe Rasta Dikhati Mai
Rahungi...!
Tumse Milne Ka Ye Bahana Accha
Laga
Nazar Mila Kar Nazar Churana Accha
Laga
Rasman Unse Hath Milana Accha Laga
Dushman Ko Bhi Gale Lagana Accha Laga...!
Hath Utha Kar Aur Duaayein Kya
Maangu
Unka Mere Dilme Samana Accha
Laga
Mere Ghar Me Barkat Naazil Hone
Lagi
Unke Ghar Pe Aana Jana Accha Laga...!
Waqt Ki Bhid Me Hargiz Nahi Khone
Dungi
Mai Tujhe Aur Kisi Ka Nahi Hone
Dungi
Tune Cheeni Hai Meri Ankhon Se
Meri Neenden
Mai Bhi Ab Chain Se Tujhko Nahi
Sone Dungi...!
Wo To Peetal Tha Use Kis Tarah Sona
Karte
Is Se Accha Tha Ki Raavan Pe Bharosa
Karte
Ab Hain Sharminda Ki Kyu Khaak Hue
Tere Liye
Ped Ban Jate To Hum Logo Pe Saaya
Karte.
Waade Hi Waade Unhi Waado Pe Firse
Waade
Zndgi Beet Gayi Tumko Tamasha Karte
Jhoot Hi Jhoot Sirf Jhoot Fir Ek Aur Jhoot
Jhooton Pe Kis Tarah Bolo Hum Bharosa
Karte.
Raah Sunsaan Hai Dil Pareshan Hai
Aisi Tanhai Me Kiske Ghar Jaungi
Dil Dharakne Laga Saans Rukne Lagi
Tum Sahara Na Doge To Mar Jaungi...!!