Ye To Benaam Ki Pehchan Bana
Deta Hai
Tapte Sehraa Ko Gulistaan Bana
Deta Hai
Pyar To Ek Karishma Hai Khuda
Ka Logo
Pyar Insaan Ko Insaan Bana Deta
Hai...!!
Pyar Gar Nahi Hota Phool Bhi
Nahi Khilte
Zndgi Ke Daman Me Gul Bhare
Nahi Hote
Nafraton Ki Agni Se Khud Ko Dur
Hi Rakhiye
Jo Drakht Jalte Hain Fir Hare Nahi
Hote...!!
Rang Laata Hai Lahoo Doston
Mazloomon Ka
Haal Har Haal Me Zaalim Kaa
Bura Hota Hai
Aap Har Daur Ki Tareekh Utha
Kar Dekhe
Zulm Jab Hadd Se Guzarta Hai
Fanaa Hota Hai...!!
Sach Kahu Mujhko Ye Baat
Bura Lagta Hai
Zulm Sehta Hua Insaan Bura
Lagta Hai
Kis Kadar Ho Gayi Mashroof
Ye Dunia Apni
Ek Din Thehre To Mehmaan
Bura Lagta Hai...!!
Tum Mujhe Chaho To Bas Apna
Andaz De Dena
Guzarish Itni Hai Ye Haq Mujhe
Aaj De Dena
Sari Dunia Ki Nazren Jab Tumhe
Tanha Chod De
Bas Us Mod Par Tum Mujhe Ek Awaz
De Dena...!!
Muddat Ke Baad Usne Jo Awaaz
Di Mujhe
Kadmon Ki Kya Bisaat Thi Sanse
Thehar Gayi
Nazakat Lekar Ankhon Me Wo Unka
Dekhna Tauba
Ya Khuda Hum Unhe Dekhe Ya Unka
Dekhna Dekhe...!
Udas Chidya Chaman Ke Liye
Tarasti Hai
Gareebi Uss Ki Watan Ke Liye
Tarasti Hai
Kisi Ki Car Me Kutte Pe Reshmi
Chadar
Kisi Ki Laash Kafan Ke Liye Tarasti
Hai...!!
Diyee Pyar Ke Mai Jalane Chali
Hu
Mai Deewar E Nafrat Girane Chali
Hu
Sab Hi Dharam Ke Phool Hain Ek
Chaman Ke
Yahi Baat Sab Ko Batane Chali Hu...!!
Udhar Saazish Pe Saazish Ho
Rahi Hai
Idhar Rab Ki Nawazish Ho Rahi
Hai
Udhar Wo Nafraton Me Jal Rahe
Hain
Idhar Phoolon Ki Baarish Ho Rahi
Hai...!!
Hum Bhi Piye Tum Bhi Piyo Rab Ki
Meharbaani
Pyar Ke Katore Me Ganga Ka Paani
Tumne Bhi Sanwari Hai Humne Bhi
Sanwari Hai
Ye Zameen Tumhari Hai Ye Zameen
Hamari Hai
Is Zameen Pe Likhna Hai Pyar Ki Kahani
Pyar Ke Katore Me Ganga Ka Paani.