Main Wohi Hoon Jise Tum Dost Kaha Karte They
Din Main Soo Baar Mera Naam Liya Karte They
Aaj Kiya Baat Hai Ke Mujh Se Khafa Bethe Ho
Kiya Kisi Aur Ko Dost Bana Bethe Ho?
Faasle Itne To Pehley Na Hua Kartey They
Main Wohi Hoon Jise Tum Dost Kaha Kartey They
Tum Agar Bhool Gaye To Koi Baat Nahi
Zakham To Pehley Be Is Dil Per Laga Kartey They
Mai Wohi Hoon Jise Tum Dost Kaha Kartey They
Din Mai Soo Baar Mera Naam Lya Kartey They.
Dosti Imtihan Nahi Viswas Mangti Hai,
Nazar Aur Kuch Nahi Dost Ka Deedar Mangti Hai,
Zindagi Apne Liye Kuch Nahi Par Aapke Liye.
Dua Hazaar Mangti Hai.
Dard Uthta Hai Magar Aah Nahi Karte,
Kon Kehta Hai Ke Hum Wafa Nahi Karte
Akhir Kyu Nahi Badalti Taqdeer Meri,
Kya Mere Dost Mere Haq Mein Dua Nahi Karte.
Thoda Socha Hai Humne.
Thoda Jaana Hai Humne.
Mushkil Se Magar Pehchana Hai Humne.
Koi Aap Jaisa Na Tha Na Hoga
Isliye Dost Aapko Mana Hai Humne.
Dosto Ki Kami Ko Pehchante Hain Hum.
Duniya Ke Ghamon Ko Bhi Jante Hain
Hum.
Aap Jaise Dosto Ke Hi Sahare.
Aaj Bhi Has Kar Jeena Jante Hai Hum.
Rishton k bandhan ko vishwas nahi kahte,
Har aansoo ko jajbat nahi kahte.
Kismat se milte hai dost jindagi me,
Isliye dosti ko kabhi ittefak nahi kahte
Dost Ki Dosti Se Zindagi Sunehari Hoti Hai,
Saath Uske Tooti Har Aas Poori Hoti Hai,
Mile Dost Aisa Samjh Jaaye Dil Ki Baat,
Phir Kaha Koi Bhi Baat Zaroori Hoti Hai.
Is Shayar Ka Kehna Sun Le Zamane Wale,
Dost Hote Nahi Sab Haath Milane Wale.
Bina Pukare Hume Apne Sath Paoge,
Karo Wada Ki Dosti Aap Be Nibaoge
Matlab Ye Nhi Ki Roz Yad Karna
Bus Yaad Rakhna Uss Waqt,
Ab Khud Ko Tanha Paoge.!
Palke To Aankhe Ki Hifazat Hoti Hai,
Dhadkan To Dil Ki Amanat Hoti Hai,
Ye Dosti Ka Rishta Bhi Ajeeb Hai,
Kabhi Chahat To Kabhi Shikayat Hoti Hai.