"DOSTI" karna accha hai,
dosti nibhana "FARZ" hai,
dosti todna "BEWAKUFI" hai,
or dosto ko bewaqt "DISTURB" karna.
"HAQ BANTA HAI YAAR"
Aapka Rista Humare Suro Ka Saaz Hai,
Aap Jaise Apno Par Hume Naaz Hai,
Chahe Kuch Bhi Ho Jaye Zindagi Me,
Ye Rishta Kal Bhi Waisa Rahega Jaisa Aaj Hai
Kahin Ahdhere To Kahin Sham Hogi
Hamare Har Khushi Aap Ke Naam Hogi
Kuch Maang Ke Dekh Lijiye Humse Ye Dost
Hoton Pe Hansi Aur Hatheli Pe Jaan Hogi
Chala Jaa Message Tu Banke Gulab.
Hogi Sachi Dosti To Ayega Jawab.
Agar Na Aaye Jawab To Mat Hona Udas.
Hamare Liye Waqt Nahi Hai Unke Pass...
Hum Nibhayenge Dosti Marte Dum Tak,
Hum Hasayenge Tumko Gham Se Khushi Tak,
Aye Dost Kabhi Humse Naraz Na Hona,
Saath Rehna Hamare Akhiri Dum Tak
Hasrat Hai Apko Sacha Dost Banane Ki,
Or Khwahish Nahi Kuch Pane Ki,
Shikwa Humse Nahi Khuda Se Karo,
Kya Zarurat Thi Apko Itna Acha Banane Ki
Kya Mangu Khuda Se Tume Pane K Baad.
Kiska Karu Intezar Tere Ane K Baad.
Kyu Dost Par Jaan Luta Dete Hai Log.
Malum Hua Tume Dost Banane Ke Baad
Aapki dosti hamain is Kadar hai pyari,
Jis tarah bin paani ke machli hai bechari,
Ab Na aur koi khuwaish hai,
Bus tum dost bane rehna yahi guzarish hai...!
Mann me apke har baat rahegi,
Basti chhoti hai magar aabaad rahegi,
Chahe hum bhula de zamane ko,
Magar aapki ye pyari si dosti hamesha yaad rahegi...
Koi chupata hai
Koi btata hai
Koi rulata hai
To koi hasata hai
Dosti to har kisi ko hai kisi na kisi se.
Fark itna hai ki koi azmata hai or koi nibhata hai