Wo Chaand Ka Badan Khusbuon Ka Saaya Hai
Bahut Aziz Hai Hume Magar Paraya Hai
Utar Bhi Aao Sanam Kabi Aasman Se
Qki
Tumhe Khuda Ne Hamare Liye Banaya Hai..!
Saath Tumhara Dena Hai Aur Saath Tumhara Pana Hai
Pattharon Ke Is Shehar Me Ek Kaanch Ka Ghar Banana Hai
Aasmano Pe Jo Rishta Bana Use Dunia Me Nibhana Hai
Tum Rooth Ke Mujhse Mat Jao Mujhe Saath Tumhara Pana Hai
Tum Laut Ke Wapas Aajao Mujhe Zndgi Tumhe Banana Hai..!
Ujdre Hue Dil Ko Basane Ke Liye Aa
Pal Bhar Ke Liye Ankh Milane Ke Liye Aa
Aa Dekh To Nazdeek Se Mere Jalne Ka Tamasha
Kab Tujhe Kaha Ki Aag Bujhane Ke Liye Aa..!
Teri Har Baat Pe Aitbaar Karte Rahenge
Dilme Apne Tera Deedar Karte Rahenge
Mumkin Nahi Har Raaste Se Tera Guzarna
Firbi Har Raah Par Tera Intezar Karte Rahenge..!
Tere Dilse Apna Dil Milana Chahte Hain
Tere Dilme Mohabbat Ke Phool Khilana Chahte Hain
Jaise Phoolon Me Khusboo Samai Hai
Hum Bhi Kuch Is Tarah Tujh Me Samana Chahte Hain..!
Itna Aitbaar To Apni Dhadkanon Par Bhi Humne Na Kiya;
Jitna Aapki Baaton Par Karte Hain;
Itna Intezar To Apni Saanson Ka Bhi Na Kiya;
Jitna Aapke Milne Ka Karte Hain!
Intezaar To Bahut Tha Humein;
Lekin Aaye Na Woh Kabhi;
Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate;
Agar Hota Unhe Bhi Intezaar Kabhi!
Aankhon Mein Basi Hai Pyaari Soorat Teri;
Aur Dil Mein Basa Hai Tera Pyaar;
Chahe Tu Kabool Kare Ya Na Kare;
Humein Rahega Tera Intezaar!
Rakh Housla Wo Manzar Bhi Ayega,
Pyase Ke Paas Chal Ke Samandar Bhi Ayega,
Thak-kar Na Beth Ae Manzil Ke Musafir,
Manzil Bhi Milegi Or Milne Ka Maza Bhi Ayega.
Bichre Hue Logon Pe Taras Khao Kisi Din;
Aisa Ho Jaye K Na Yaad Aao Kisi Din;
Sawan K Bina Jaise Ho Jati Hai Barish;
Aisa Hi Mere Pas Chale Aao Kisi Din!