कल तक चाँद का दाग समझते थे जिसे...
गौर से देखा तो अकेलेपन का दर्द निकला...।
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi.
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi.
Mehki Hui Fiza Mein Dekha Jo Pyar Ko.
Bas Yaad Kisi Ki Aai Or Rulati Chali Gayi.!
Dillagi Me Waqt E Tanhaai Aisa Bhi
Aata Hai
Ki
Raat Chali Jati Hai Magar Andhera
Nahi Jata..!
Dil Hi Dilme Gam Sehna Seekh Liya
Dard Me Bhi Chup Rehna Seekh Liya
Chalakti Nahi Ankhen Ab Kisi Ke Samne
In Ankhon Ne Bhi Ab Akele Me Behna
Seekh Liya..!
Teri Yaaden Meri Tanhaai Ka Sahara
Tera Zikr Meri Kashti Ka Kinaara
Ibadaat Karti Hai Meri Rooh Aaj Bhi Teri
Mujhko Nahi Hai Tere Siva Koi Aur Rab
Gawaara..!
Tanhai ko yado se sajaya karte hai...
Hum khud he apne apko sataya karte hai...
Har rat usko khwabo me la kar...
Din bhar ke dastan sunaya karte hai
Dilme Lagi Rehti Hai Teri Yaadon
Ki Mehfil
Mai Akeli Jarur Hu Par Tanha Nahi..!
Kabhi Main Bhi Tanha Rehta Tha Teri Yaadon Ke Saath,
Ab Magar Ansu Bhi Aa Jaate Hai Kabhi Kabhi Saath Dene..
Kya Hoti Hai Tanhai Kya Hota Hai Dard
Ye Janti Na Thi Mai
Bas
In Sab Se Waaqif Kara Diya Teri Mohabbat
Ne..!
Inetzar ki aarzu ab kho gayi hai,
Khamoshiyo ki aadat ho gayi hai,
Na sikwa raha na shikayt kisi se,
Agar hai to ek mohbbat,
jo in tanhayion se ho gayi hai..!