Me Ne Chaaha Tha, Zakhm Bhar Jaeen
Zakhm Hi Zakhm , Bhar Gaye Mujh Me
Ye Jo Me Hoon … Zara Sa Hoon Baqi
Wo Jo Tum They, Wo Mar Gaye Muj Me
Ek Adat Si Ho Gai Hai Chot KhaNe Ki
BheeGi Hoi Palkin K Sang Muskurane Ki
Kash Anjaam-e-Wafa Hum Pehle Hi Jante
To “KOSHISH” Bhi Na KaRte Dil LaGane Ki
Woh Meri Dunia Tha
Lekin Kismat Me Nahi Tha
Kash
Ki Wo Mera Kuch Na Hota
Bus Meri Kismat Me Hota.
Hum Ko Mohlat Na Mili
Warna Zehar Ka Zaiqa Batate Hum
Tere Ishq Ne Khoon K Ansu Rulaye
Warna, Dil Lagi k Badshah Thay Hum
Bhar Aai Meri Aankhain Jab Us Ka Naam Aya
Ishq Nakaam Sahi Phr Bhi Bohat Kaam Aya
Hamne Muhabbat Mein Aisi Bhi Guzaari Raatein
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Na Araam Aya
Jis Ki Arzo Thi Usi Ka Hi Payar Na Mila
Barso Jiska Intezar Kia Usi Ka Hi Sath Na Mila
Ajib Khel Hai Yeh Muhabbat Ka
Kisi Ko Hum Na Mile Or Koi Hume Na Mila
Kuch Waqt Pehlay Mujhe B Zindagi Ne Azmaya Tha
Kisi K Saath Mein Nay B Hasta Hua Pal Bitaya Tha
Roota Hua Chor Gaye to Kia Hua
Hasna B To Usi Nay Sikhaya Tha
Bhula Doon Ga Usey Agley Janam Tak
Mera … Us Se Wada Ho Gaya He
Bicherne Ka Usey B Dukh He Shayad
Ke Ab To Wo Bhi , Aadha Ho Gaya He
Lipta Huwa He Dil Se , Kisi Raaz Ki Soorat
Ik Shakhs Ke Jis Ko , Mera Hona B Nahi He
Jis Shakhs Ki Khatir Tera Ye Haal Hua He
Us Ne , Tere Mar Jane Pe Rona B Nahi He
Badi Mushkil Se Bani Hun,
Toot Jane Ke Baad..
Mai Aaj Bhi Roo Deti Hun,
Muskurane Ke Baad..
Tujhse Mohabbat Thi Mujhe Be’intiha
Lekin Aksar Yeh Mehsus Hua Tere Jane Ke Baad..
Ab Tak Dhundh Rahi Hun Apne Andar Ke Uss Shakhs Ko,
Jo Nazar Se Kho Gaya Hai Nazar Aane Ke Baad.