Dard Likhte Rahe Aah Bharte Rahe
Log Parhte Rahe Wah Karte Rahe...
Is Qehat-e-Zindagi Me Koi Mujhse Kya Mile
Khud Apne Aap Ko Bhi Muyassar Nahi Hun Me...
Teri Nigah-e-Naz Me Mera Wajood "Be-Wajood"
Meri Nigah-e-Shoq Me Tere Siwa Koi Nahi...
Meri Majbooriyan Kya Puchte Ho
K Jeene K Liye Majboor Hun Me...
Mohsin Hamary Saath Bara Haadisaa Hua
Hum Reh Gaye Hamara Zamana Chala Gaya...
Us Ko Fursat Hi Nahi Waqt Nikaly Mohsin
Aise Hote Hain Bhala Chahne Wale Mohsin...?
Tum Ne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Ye Kehne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Neendon Ko Dais Jate, Koi Khwab Dekhte
Lekin Diya Jalane Se Fursat Nahi Mili
Tujh Ko To Khair Shehar Ke Logon Ka Khoof Tha
Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili
Phir Ikhtilaaf-E-Raye Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili
Be-Raaz Yun Hue Ke Tere Ehad Mein Hamain
Sab Kuch Mila, Sakoon Ki Doolat Nahi Mili
Kahte Hain K Umeed Pe Jeeta Hai Zamaana
Wo Kya Kare Jis Ko Koi Umeed Nahi Ho...
Tum Ko Jahan-e-Shoq-o-Tamanna Me Kya Mila
Hum Bhi Mile To Darham-o-Barham Mile Tumhe...
Ek Junoon Be-Mani, Ek Yaqeen La-Hasil
Kya Mila Humein Mohsin Uski Arzoo Kar K...