Sangeet Sunkar Gyan Nahi Milta
Mandir Jakar Bhagwan Nahi Milta
Patthar To Log Isliye Poojte hai..
KYUNKI
Vishwas Ke Layak Koi Insan Nahi
Milta
Kaun Kisko Dil Me Jagah Deta He,
Ped Bi Sukhe Patte Gira Deta He,
Wakif He Hum Duniya Ke Riwazo Se,
Ruk Jaaye Sanse To Apna Hi Koi Jala Deta He.
Maana Ke Mujhse Woh Khafa Rahe Honge,
Ho Sakta Hai Woh Mujhe Aazma Rahe Honge,
Hum Utni Hi Shiddat Se Yaad Karenge Unhein,
Jitni Shiddat Se Woh Humein Bhula Rahe Honge.
सदीयो से जागी आँखो को, एक बार सुलाने आ जाओ,
माना की तुमको प्यार नहीं, नफरत ही जताने आ जाऔ
जिस मोङ पे हमको छोङ गये, हम बैठे अब तक सोच रहे
क्या भुल हुई क्यो जुदा हुए, बस यह समझाने आ जाओ!
Na Wo Aa Sake Na Hum Kabhi Jaa Sake,
Na Dard Dil Ka Kisi Ko Suna Sake,
Bas Baithe Hain Yaadon Mein Unki,
Na Unhone Yaad Kiya Or Na Hm Unko Bhula Sake.
Yaadon Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,
Khuli Aankho Se Kbhi Aap Bhi Soye Honge,
Mana Hasna Hain Adaa Gam Chhupane Ki
Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge.
Jee Bhar Ke Rote Hain To Karaar Milta Hain,
Es Jaha Mein Kahan Sab Ko Pyar Milta Hai,
Zindagi Guzar Jati Hai Imtihano K Daur Se,
Ek Zakhm Bhrta Hai To Dusra Taiyar Milta H
Chahat M Kisi Ko Ye Saza Na Dena
Mohobbat Koro To Fir Daga Na Dena
Jo Tumhre Bina Ek Pal Bhi Ji Na Sake
Use Kabhi Lambi Umar Ki Dua Na Dena.
Khafa-Hone Se Pehle Khata Bata Dena,
Rulane Se Pehle hasna Sikha Dena,
Agar Jana Ho kabhi Humse Dur aapko,
To Pehle BINA SAANS LIYE JEENA SIKHA DENA.
Woh Aam C - Shaam Thi Jab Juda Huay Thay Hum,
Na Toot Kar Pyar Kia Or Na Ro Sakay Hum,
Na Zamany Say Kuch Kaha Hum Nay,
Barbad Ho Gaye Bari Saadgi Say Hum…!