Main jo chahon to abhi tod loon nata tumse
par mai buz-dil hoon mujhe maut se dar lagta hai...
Kuch ish liye bhi raaton ko sona chor diya hum ne..
agar wo khuwaab mai bhi bichra to mar jayenge hum
Kisi Be-Wafa Ki Khaatir Ye Janoon
Faraz Kab Tak..
Jo Tumhein Bhula Chuka Hai Usey
Tum Bhi Bhool Jao..!!!
Teri Mohabbat Pe Sakh Kar Ke.
Humne Aapne Aapko Kamzor Sabit Kya Hai..
Maf Karde Hume Is Kahta Pe.
Aakhir Tere Judai Hi Iska Karan Hai.
Zamin Par Wo Mera Naam
Likhte Hai Aur Mitate Hai.
Unka To Timepass Ho Jata Hai….
Kambhakt Mitti Mein Hum Mil Jate Hai.
Bhool Jane Ka Tujhe Koi Irada Na Tha.
Tere Siva Kisi Se Kiya Wada Na Tha.
Nikaal Dete Dil Se Shayed Tumhen Khayal.
Par Is Kambakht Dil Me Koi Darwaja Na Tha.
Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute.
Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hoon,
Bhula Deta Hoon Dard-o-Ghum Zara Aaram Leta Hoon.
Na Jaany Kon Sa Jazba Mujhay Majboor Karta Hai,
Main Aksar Be-khudi Main Bhi Tumhara Naam Leta Hoon.
Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi Meri Be-gunahi Ka,
Main Khud Chup Chaap Apnay Sar Pe Har Ilzam Leta Hoon.
Mujhay Har Baat Par Rona Kabhi Acha Nahi Lagta,
Isi Khatir Main Apnay Ghum Hansi Main Taal Deta Hoon…!!
Awaz Usey Sunai Nahi Deti
Ab To Door Tak Koi Umeed Bi Dikhai Nahi Deti
Ehsas Usey Or Sub Logon Ka Hai
Bus Meri Hi Tanhai Usey Dikhai Nahi Deti..!!!
Log Mujh Se Mil Kar Bichar Jate Hain.
Is Liye Min Logon Se Door Rhta Hon.
Mat Samjho K Aate Nhi Adaab-e-Mulaqat Muje.
Khaloos Ka paikr Hon Aadat Se Majboor Rhta Hon.
Jin Se Brha Mera Rabta Gham Hi Mila.
Ab Rabta Nahi Barhata Bohat Masroof Rehta Hon.
Log Muje Kehte HainBe’Murawat Or Khud Gharz.
Kitne ache Namon seMashoor rehta hon.
Har Waqt khoya Rehta honkhud Ki tlaash me ”
Bohat toot gaya Hon ab ‘APNO’ se door rehta hon…