Manzil Bhi Nazar Aati Rahi,
Hum Bhi Kadam Badate Chale Gaye,
Fasla Bhi Kam Na Hua,Aur
Apno Se Juda Hote chale gaye.
Hume jindagi ki sachai
tab pata chali
Jab raste mein pade
phulo ne mujhse kaha,
Dusro ko khushbu dene
wale
Aksar isi tarah kuchal
diye jate
haiā¦!!
Aankho Me Nami Si Chaayi Hai
Firse Hume Aapki Yaad Sataayi Hai
Ab To Dharkan Ki Bhi Isme Gawaahi Hai
Ki
Aap Ke Bin To Sirf Tanhai Hai..!
Dunia Ki Itni Thokarein Lagi Ki Begane Ho Gaye
Kabi Afsane Likhte Thay Ab Khud Afsane Ho Gaye
Hai Kaisi Ye Uljhan, Hai Kaisi Ye Justuju
Ki
Jo Mil Nahi Sakte Hume Kyu Hai Sirf Unhi Ki Arzoo..!
Na Rakhna Kisi Ko Dil Ke Itne Kareeb
Ki Roothe To Jaise Lage Toota Naseeb
Aap Se Hamara Rishta Bhi Hai Kitna Ajeeb
Ki
Aapke Bin To Jaise Hum Ho Gaye Hain Gareeb..!
Dil To Hoga Par Na Hogi Usme Jaan
Sanse To Hogi Par Na Hoga Armaan
Hum Rahenge Yahi Par Na Hoga Aashiyan
Jab Se Humne Likh Di Hai Ruswai Ki Daastan..!
Raat Ke Andhere Me Is Dil Ke Ek Kone Me
Nazar Aata Hai Aaj Bhi Wohi Chehra
Is Dil Ko,
Is Jigar Me,
Is Rooh Ko Jo De Jata Hai
Aaj Bhi Har Pal Har Lamha Zakhm Ek Gehra..!
Mere Khuda Bas Tu Itna Reham Kar
De
Dil Ye Mera Tu Patthar Kar De
Seh Na Payenge Hum Yaar Ki Judai
Uske Rukhsat Se Pehle Mujhko Dafan
Kar De..!
Khwab Ankho Me Tha Par Sab Ko Dikhaya Na Gaya
Lab Pe Ek Naam Tha Zubaan Pe Kabi Laya Na Gaya
Range Thay Jigar Se Mere Usne Apne Haath
Par
Heena Se Meri Hatheli Ko Sajaya Na Gaya..!
Us Se Pyar Hua Jise Hum Kabi Paa Na Sake
Jiski Baaton Ko Hum Kabi Bhula Na Sake
Dil Lagaya Aur Laga Kar Tod Diya Usne
Saath Nibhane Ki Kasme Kha Kar Muh Mod Liya Usne
Use Lakh Bhulana Chaha Par Hum Bhula Na Sake..!