Na Murawat,
Na Mohabbat,
Na Khuloos Hain
Main Toh Sharminda Hun Iss Daur Ka Insaan Hokar!
Ab Tak Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain;
Yeh Aakhri Shama Bhi Bhujane Ke Liye Aa!
Uske Chale Jaane Ke Baad;
Hum Mohabbat Nahi Karte Kisi Se;
Ek Choti Si Zindagi Hai;
Kis-Kis Ko Aazmate Rahenge!
Wohi Kaarwaan,
Wohi Raaste,
Wohi Zindaagi,
Wohi Marhalay;
Magar Apne Makaam Par,
Kabhi Tum Nahin Aur Kabhi Hum Nahin!
Aankhon Ki Hoti Hai Khata, Aur Saza Dil Ko Mil Jaati Hai;
Pucho Na Yaaro Pal Mein Hi Kaise Zindagi Badal Jaati Hai!
Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai;
Her Kissi Ko Kissi Na Kissi Ki Talash Hai;
Kissi Ke Pass Manzil Hai, Toh Raah Nahi;
Aur Kissi Ke Pass Rah Hai, Toh Manzil Nahi!
Kissi Se Aggar Juda Hona Itna Aasan Hota;
Toh Jism Se Rooh Ko Lene Kabhi Farishte Na Aate!
Rone Se Kissi Ko Paya Nahi Jata;
Khone Se Kissi Ko Bhulaya Nahi Jata;
Waqt Sabko Milta Hai Zindaagi Badalane Ke Liye;
Par Zindagi Nahi Milti Waqt Badalne Ke Liye!
Saari Zindgaani Humne Bita Di;
Unka Ikraar-e-Ishq Itna Mushkil To Na Tha;
Hum Ikraar Karte Rahe, Wo Inkaar Karte Gaye!
Maut Ke Baad Bhi Yaad Aa Raha Hai Koi;
Mitti Meri Kabr Se Utha Raha Hai Koi;
Ai Khuda, Do Pal Ki Zindagi Aur De De;
Meri Kabr Se Udaas Ja Raha Hai Koi!