Sirf itna nahin dil dukhaa kar geya,
Sara jeewan woh mera sazaa kar geya,
Jis ki tu raah takta hai sham-o-sehar,
Sab hawaley woh tere bhalaa kar geya,
Phool, khushbu, chaman, chand, taarey, sabaa,
Saarey sathi woh hum se khafaa kar geya,
Tu kahan aur yeh bewafayi kahan,
Yeh zamana tujhe bewafaa kar geya,
Sab darakhton pe kuch kuch likha reh geya,
Naam aese woh mera mitaa kar geya,
Yaad meri sataaye gi shab bhar usey,
Aaj din bhar humain jo sataa kar geya,
Yeh bhi mumkin hai Arshad na lottay kabhi,
Jo humain chaar din ka bataa kar geya..
Yaad aati hai to jara kho lete hai.
Ansu aankho se utar aya to ro lete h.
neend to nhi aati aankho me lekin aap
sapno me ayange is liye so lete hai
Mehfil main kuch to sunana padta hai,
Gham chupakar muskurana padta hai,
kabhi unke hum bhi the dost,
Aaj kal unhe yaad dilana padta hai
Waha Tk Sath Chalte H Jha Tk Sath Mumkin H
Jaha Halaat Badalenge
Vha Tm Bh Badal Jana...!!!
Mjhe Rula Kr Sona To Teri Adat Bn Gai
Jis Din Meri Aankh Na Khuli
Toh
Tujhe Neend Se Nafrat Ho Jayegi...!!!
sb khte hain
ki badal gya h tu...
Ab unhe kaun
Samjhaye...
"Tute hue patte ka rang,
aksar badal hi jata h..."
"Jaß Chalna Nåhi Aatå Tha
To K0i Girnay Nahi Deta Tha....!!
"Jaß Se Samßhala Hai Khud Ko,,,
"Qädam Qadam Pe Giranee Ka S0chtay Håin L0g...!!
"Ojhal Sahi Nigah Sy,
Dooba Nahi Hon Main
Ay Raat Khabr'daar! K Haara Nahi Hon Main
Darpesh
Subah-o-Sham Yehi Kash'makash Hai Ab
UsKa Ban'on Main Kaisy K Apna Nhi Hon Main
Mujh Ko Farishta Hony Ka Daawa Nhi Magar
Jitna Bura Samjhty Ho Utna Nhi Hon Main
Is Tarah Pher Pher K Baten Na Kijiye
Lehjy Ka Rukh Samjhta Hon Bacha Nhi Hon Main
Mumkin Nhi Hai Mujh Sy Ye Tarz-e-Munaafqat
Duniya Tery Mizaaj Ka Banda Nhi Hon Main. . . . .!!!
Usy kehna
Ye Duniya hai
Yahan Har Shakhs Matlab k
Haddon Tak sath chalta hai
Jonhi Mosam Badalta hai
Muhabbat k
Sabhi Daawy"
Sabhi Qasmen"
Sabhi Waady"
Achanak Toot jaty hain
Usy kehna
Yeh Duniya hai
Yahan Har Morr pe Apni
Sada Ankhen Khuli rkhna
Koi Kitna b Acha ho
Koi Kitna b Sacha ho
Magr Aitbar Mat krna
Usy kehna
Ye Duniya hai .
Hasrat bhari nigahon ko Aaraam tak nahi,
Wo yoon badal Gaya k ab salam tak nahi.
Jiski tallab mein zindaagi apni Guzaar di,
Us be_wafaa k lab pe mera naam tak nahi.
Jo keh Gaye thay shaam ko baithen ge Aaj phir,
Kuch saal ho Gaye koi paighaam tak nahi.
Madfoon hoon tere hijar ki ik aisi Qabar mein,
Kutbay pe jis k Aaj koi naam tak nahi.
Be_ikhtiyaar uthtay hain mere Qadam udhar
Haalanke us Gali mein mujhe kaam tak nahi..