Meri aur unki itni si kahani hai.
Tuti hui kasti aur ruka hua pani hai.
Ek gulad jo unki kitab me dum tod chuka hai.
Aur unko yaad hi nahi ki ye kiski nishani hai.
Unki yaadon ko pyar karte hai.
Lakho janam unpar nisar karte hai.
Agar raah main mile kabhi woh apko..
Toh unse kehna hum aaj bhi unka intezar karte hai.
Raat ki shurwat nind se hoti hai
nind ki shurwat sapnose hoti hai sapnoki shurwat apnose hoti hai aur apnoki shurwat aapse hoti hai miss u.
Nazaro ko nazaro ki kami nahi hoti. Fulo ko baharo ki kami nahi hoti.
Fir kyu hame yad karenge aap.
aap to aasman ho aur aasman ko sitaro ki kami nahi hoti
Jan kar bhi wo mujhe jaan na paye.
Aaj tak wo mujhe pehchan na paye.
Khud hi kar li bewafai humne.
Taki mere pyar per koi ilzaam na aaye.
Koi subah aati hai tumhar yaad le kar,
koi subah jati hai tumhari yaad de kar.
Lekin hume to us subah intzaar hai.
Jo aye 'tumhe' saath lekar.
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the.
yaad unhe din raat kiya karte the.
ab toh unraha se guzar bhi nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the
Kisi sayar ki kalpna ho tum.
Khud ko bhul jaun wo nsha ho tum.
Ab hosh aye n behatar hoga.
Sapna hi sahi mera apna ho tum.
sagar ko chua to lehro ki yaad ayi,
aasman ko chua to taro ki yaad ayi,
phulon ko chua to kante ki yaad ayi,
apne dil ko chua to sirf apki yaad ayi.
nikalte hai aansu jab mulakat nahi hoti.
toot jata hai dil jab baat nahi hoti,
apni jaan ki kasam hai yaar,
aap yaad itna ate ho bas fariyad nahi hoti.