(G.A.Z.A.L)
Naam us ka liya to uljhen c ho gai!
Shayad hmen us se mohabat c ho gai!
Wo karta raha badnaam hmen logon mein!
Hmen b mashhoor honay ki adat c ho gai!
Us k anay se pehlay sari kaenat me thi khizan!
us k anay k bad duniya me sajavat c ho gai!
Bichartay waqt kehnay laga wo mujh se,
Hum ko tum se pyar nahi tha bus shararat c ho gai!
Jab wo bichra to dil ki duniya me "M0HSIN"
Aese tufaan utthay k qayamat c ho gai.
"Ghazal"
Me ronay se darti hun juda honay se darti hun.
Meri ankhen batati hen k me sonay se darti hun.
Mera hath pakar lena
mujhay tanha mat karna.
Ye duniya ek mela hy
tumhain khonay se darti hun.
Jab hansti hun to q palkun k goshay bheeg jatay hen.
Tumhen maloom hy me is tarha ronay se darti hun.
Jab se khawab dekha hy
mujhay tum chor jao ge.
Me ab khawbun se darti hun.
Me ab sonay se darti hun.
Tm se juda honay sy darti hun..
"Muhabaton ne kesa kamaal kr dala."
"Humain to udasiyon ki misaal kr dala."
"Kabhi milen to pochen ge ik doje se"
"K kis ko kis k gham ne nidhaal kr dala"
"Tu bata us se kya kahn ge hum"
"Meri udasi pe jo kisi ne sawaal kr dala"
"Suna tha zndgi ka safr bohat mushkil hai"
"Or hm ne kr k muhabbat ise or b muhaal kr dala""
Alfaz K Jhoote Bandhan Me,
Aghaz K Gehre Pardon Me,
Har Shakhs Mohabat Karta Hy,
Halan'K Mohabat Kuch B Nhi,
Sab Jhoote Rishte Naate Hen,
Sab Dil Rakhne Ki Baten Hen,
Kab Kon Kisi Ka Hota Hy,
Sab Asli Roop Chupaty Hen,
Ehsas Se Khali Log Yahan,
Lafzon K Teer Chalaty Hen,
Ek Bar Nazar Me Aa K Wo,
Phr Sari Umar Rulate Hain,
Ye Ishq-o-Muhabbat Mehr o Wafa,
Ye Sub Kehne Ki Baten Hen,
Har Shakhs Khudi ki Masti Me,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai ,
Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Mere Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!
Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!
Aaj Bas Tum Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Me Bas Sunu Aisa Be-Zuban Kr Do!
Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,
Aa-Jao K Aisa Toot Kr Chahon Tumain,
Meri Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!
Apne Dil Mein Is Tarha Chupa Lo Muj Ko,
Rahun Humesha Is me aisa Mera Makan kr do..
Ghazal
Zamany ko jalny do chalo ek sath chalty hain
Nayi dunia basany ko chalo ek sath chalty hain
Hamain jevan ka har lamha tumhary naam krna hai
Yhi waada nibhany ko chalo ek sath chalty hain
Suna ha mil kar chalny se muqadr jaag uthty hain
yhi baat aazmany ko chalo ek sath chalty hain.
Har Bar Mujhe Zakhm-E-jUdai na Diya kar,
Agr tO mera Nahi tO mujHe DikHaai na Diya kar,
Such jHoOt tEri aNkhon sE hO Jata hai zaHir,
Qasam na utHa itNi saFaai na Diya kar,
MaloOm hai tO muJhSe rEhTa hai Gurezaan,
PasS a k MuHabBt ki dUhaai na Diya kar,
ToFeeq Nahi aGar tUjH'ko wada nIbHane kI,
Ouron ko bHi tO Daras-e-bHalaai na Diya kar,
Urrh jayen tO phIr Lout k Kab aty haIn,
Har bar parindOn kO rEhaai na Diya kar,
(Best Ghazal)
Ek baar kar k etbaar likh do,
Kitna hai muj sy pyar likh do,
Katti nahi ye zindgi ab tery bina,
Kitna aur karun intizar likh do,
Taras rahy hain bari muddat sy,
Is baar apni mohabbat ka izhaar likh do,
Deewany ho jayein jisy parh kr hum,
Kuch aisa tum mery yaar likh do,
Zyada nahi likh sakty to matt likho tum
Mohabbat bhary lafz do chaar likh do
Ek baar likho mohabbat hai mujy tum sy
Phir yahi jumla baar baar likh do..
Rah-e-Khulos Me Paida Dushwariya Na kr,
Chaht Nhi To Hmse, Adakariya Na kr
Lfzo Se Khelne Ki Zrorat Nhi Tujhe,
Saada Dilo K Sath Ye Fnkariya Na kr
Jinse Nhi Mohabbt Unhain Mu B Mat Lga,
Be-Wja Hr Dukan Se Khridariya Na Kr
Tu shakh'e'gul hai koi amr bail to nai,
Wabsta hr shajr se, wfadarian na kr
Is Shugal-e-Be Jwaaz Se Kya Faida Tujhe,
Dil Mat Dukha Kisi KA Dil Azariyaan Na Kr..
"Na Shab-O-Roz Acha hai,
Na Haal Acha Hai,
"Kisi JOgi Ne Kaha Tha Ke Ye Saal Acha Hai,
"Maine P0ocha Ke Wafa Muqaddar Mai Hai,?
"Muskurate Howe BOla K Sawaal Acha Hai,
"Wo Mera Haath Dekhte Howe BOla,
"Tum Par Muqaddar Ka Zawal Acha Hai,
"Maine Po0cha Meri Qismat Mai Kya Likha Hai,?
"Maathe Pe Shikan Daale Mujh Se Kehne Laga Tu Tanha hi Acha Hai.