"KASH" TUM SAMJH PATY"
Kitna Chaha tha Tum Ko
Kitna socha tha Tum Ko
Kis Qadar Mohabbat thi
Kis Qadar Zaroorat thi
"Kash Tum Samjh Pate"
Jaan Ye Tumhari thi
Har Khushi Tumhari thi
Dil Lagi Tum Hi Se thi
Zindgi Tum Hi Se thi
"Kash Tum Samajh Pate"
Rooh Ki Zaroort thay Tum
Dil Ki Ibadat thay Tum
Meri Mohabbat thay Tum
"Kash Tum Samajh Pate"
Sirf Tum Se Mohabbat thi
Sirf Tum Ko Chaha tha
"Kash Tum Samajh Pate"
"KASH TUM SAMAJH PATY"..
Nigahon k tasaadum se, wo ajab taqrar karta hai.
Yaqeen kaamil nahi lekin, guman hai pyar karta hai.
Laraz jati hun main ye soch k, kafir na ho jaun.
Lehja uska pooja k liye, israar karta hai.
Usay maloom hai shayad, mera dil hai nishanay pr.
Labon se kuch nahi kehta, nazar se waar karta hai
Main us se pochti hon khawab me, mujh se mohbat hai..?
Phir aankhain khool deti hu, wo jab izhar karta hai....+
*..TUMHE FARQ NAHI PARTA..*
'
"..Me Tum Se Rooth Jaon To,,!
"..Tumhare Pas Na Aaon To,!
"..Phir Tum Se Door Ja Kar Me,
"..Kabhi Wapis Na Aaon To,!
"..Tumhari Yaad Me Gum-Sum,
"..Kabhi Aansu Bhaon To,,!
'..'TUMHE FARQ NAHI PARTA.....!!
"..Tumhare Pyar Me Aksar,,
"..Khud Ko Bhool Jaon To,,!
"..Me Teri Deed Me Tanha,,
"..Kabhi Khud Ko Mitaon To,,,!!
"..Me Tum Se Door Reh Kar Phir,
"..Akely Mar Hi Jaon To,,,!!
"..TUMHE TO FARQ NAHI PARTA...+
Mujhe Duaon Me Yaad Rakhna
Main Wo Musafir Hon Jis Ka Rasta Boht Katthin Ha
Mera Asara Hi Dosti Ha
Ye Ghup Andheron Me Roshni Ha
Ye Kaali Raaton Me Chandni Ha
Isi Sahary Guzar Rahe Hain Ye Zindagi K Haseen Lamhe
Ye Meri Izzat Ye Meri Shohrat
Hain Doston Ki Dua Ka Hasil
Mujhe Duaon Ka Aasra Ha,
Meri Bs Itni C Iltja Ha
Meri Umeedon Ki Laaj Rakhna, Mujhe Duaon Me Yaad Rakhna
-
+....Muje Duaon Me Yaad Rakhna....+
Itni To Na Kr Be-Rukhi, Kuch To Khyal Kr!
Hum Pehle Se Hi Hen Dukhi, Kuch To Khyal Kr!
Tera Hansna Meri Hayyat Hy! Tera Bolna Hy Meri Kushi,
Mat Cheen mujh se hr khushi, Kuch to Khyal kr.!
Beshk tu mujh se bat na kr Itna to bta mgr,
Bin Tere kiya he Zndgi, Kuch to Khyal kar...
Teri "aas" thi tu mila nahi,
meri "Jaan" tujh se gila nahi.
Tere "DiL" me jo raha Dair tak,
Wo Shakhs itna "Bura" nahi.
Mujhe Bhool mat Aey "Husne Sitam",
Ye meri Wafa Ka "Sila" nahi.
Mere "DiL" pe tera hi naam hy,
Tu ne aaj tak wo "Parha" nahi.
Mera "Saya" Ban k chala tu sath,
Mere sath sath Tu "chala" nahi.
Tujhe Kis Ki "aas" hy aaj tak,
Yehi "raaz" mujh Pe Khula nahi.
Mohabat Mein Na Aisa Koi Majbor Ho Jaye,
Ke Seney Se Laga Kar Maut Ko Mansor Ho Jaye,
Mana Ke Usko Le Aao'n Mgr Is Bat Ka Dar Hai,
Kahin Aisa Na Ho Woh Aur Bhi Maghror Ho Jaye,
Tumhen Kese Batao'n Kya Nasheeli Uski Aankhe'n Hain,
Ke Jo Dekhey Unhe'n Woh Bin Piye Makhmor Ho Jaye,
Abhi Halka Sa Dil Pe Zakhm Hai Teri Judai Ka,
Kahin Aisa Na Ho Yeh Zakhm Bhi Nasor Ho Jaye,
Aise Ishq Ka Anjaam Janey Kya Hoga.
Jo Pehle Marhaley Mein Is Qadar Mash'hoor Ho Jaye.
*aLoNe*
',
Har Kisi Se Jo Hum Ne Wafa Ki
-
Bus Yehi Zindagi Main Khata Ki
-
Chahaton K Hajoom Main Tanhai
-
Mujh Ko Doston Ne Hi Atta Ki
-
Soz e Dil Yunhi Nahi Mila Hm ko
-
Bari Keemat Thi Is Ki Jo Adaa Ki
-
Jo Hamara Na Ho Saka Hum Ne
-
-
Us K Wastey Hi Dua Ki....+
*aLoNe*
Poet:
Mohsin Naqvi
Dil Mera Misar Ka Bazar Bhi Ho Sakta Hai,
Koi Dharkan Ka Kharedar Bhi Ho Skta Hai,
Koi Ho Skta Hai Qatil Bhi Sar-e-Yaaran Main,
Koi Hamdrd Sar-e-Daar Bhi Ho Skta Hai,
Ab Tak Ashk Gira Karte They Tanhai Main,
Yeh Tamasha Sare Bazar Bhi Ho Sakta Hai,
Mujh Pe Taane Na Kaso Mujh Ko PaGaL Na Samjho,
Main Bhi Insan Hoon Mujhe Pyar Bhi Ho Sakta Hai,
On Ki Chokat Pe Mohsin Jana Hai Ab Tham Le Dil,
Wahan Iqrar Bhi Inkar Bhi Ho Sakta Hai.+
*aLoNe*
Poetess:
Noshi Gilani
Tum Ne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahin Mili,
Mujh Ko To Yeh Bhi Kehne Ki Mohlat Nahin Mili,
Neendon Ke Deis Jate Koi Khawab Dekhte,
Lekin Diya Jalane Se Fursat Nahin Mili,
Tujh Ko To Khair Sheher Ke Logon Ka Khof Tha,
Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahin Mili,
Phir Ikhtalaf-E-Raye Ki Soorat Nikal Pari,
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahin Mili,
Be Zaar Youn Howe K Tere Ehad Main Humain,
Sab Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahin Mili..