Aasman se uncha koi nahi,
Sagar se gahra koi nahi,
Yun to mujhko sabhi Pyare hai,
par aapse Pyara koi nahi
Pal Bhar Mein Tut Jaye Woh Kasam Nahi,
Apko Bhul Jaye Woh Hum Nahi,
Tum Hume Bhul Jao Is Baat Me Dum Nahi,
Kyonki Tum Hume Bhul Jao Itne Bhi Bure Hum Nahi
Gham Mein Hasne Walon Ko Rulaya Nahi Jata
Lehron Se Pani Ko Hataya Nahi Jata
Honay Wale Ho Jate Hain Khud He Apne
Kisi Ko Keh Kar Apna Banaya Nahi Jata
Hum tanhaiyon se nahin,
Mehfil me hsion se dartein hain,
Hum zamane se nahin,
Apne aap se dartein hain,
Yun to bahut kuch khoya hai humne,
Par najane kyon aapko khone se dartein hai
Pyar Ki Anokhi Murat Ho Tum,
Zindagi Ki Ek Zaruat Ho Tum,
Phool To Khoobsurat Hote Hi Hai,
Par Phoolo Se Bhi Khoobsurat Ho Tum.
Tu Chand Aur Main Sitara Hota,
Aasmaan Mein Ek Aashiyana Humara Hota,
Log Tumhe Door Se Dekhte,
Nazdeeq Se Dekhne Ka Haq Bas Humara Hota..
Aapke Hothon Par Sada Khilta Gulab Rahe,
Khuda Naa Kare Aap Kabhi Udas Rahe,
Ham Aapke Paas Chahe Rahe Na Rahe,
Aap Jinhe Chahe Woh Sada Aapke Pas Rahe..
Is Dil Ko Agar Tera Ehsaas Nahi Hota,
Tu Door Bhi Reh Kar Ke Yun Paas Nahi Hota,
Is Dil Ne Teri Chahat Kuch Aisi Basayi Hai,
Ek Lamha Bhi Tujh Bin Kuch Khas Nahi Hota.
Tujhse Naraz Nahi Par Udas Hu,
Tere Paas Nahi Par Tere Dil Me Rahta Hu,
Jhuth Kahu To Sab Kuchh Hai Mere Paas,
Aur Sach Kahu To Tere Siva Kuchh Nahi Mere Paas.
Nazar ko nazar ki khabar na lage,
••
Koi accha bhi is kadar na lage,
••
Aapko dekha hai bas us nazar se,
••
Jis nazar se aapko nazar na lage